Monday, March 05, 2007

Dhoop Ke Saath..


Sadakon par bhatakta raha main raton ko.
Takdeer ki lakeeron ki chahat rah gayi hathon ko.

Muddaton se karta raha koshish kuchh kahne ki
Lafzon ki kami rah gayi har baar baaton ko.

Aaine me chand dikha dhoop ke saath mujhe
Nigal gaya bharam masoom khayalaton ko.

Sooni aankhon me ashkon ka sailaab utha
Baha diya usme tamaam armaano ko.

Mushkil hai zinda rahna bin ab tere is jahan me
Aazadi chahiye jism se in gulam saanson ko.

5 comments:

Me Thinks.. said...

you did it again..last line is amazing, as always..
Aaina part is too good, par main aapko ek baat batau, zinda rehna mushkil hai unke bina, namumkin nahi, saanso ko chalne do....zindagi shayad tumhe kisi aur ka ghulam bana de..
Sabr..

Cosmos said...

@MT.. Shukriya
Gulam to hum aaj bhi hain apni marzi ke lekin kya kare hum to apni marzi bhi kisi ko khairad(dan)me de chuke hain.

Me Thinks.. said...

Khairad mat baanto, ye badi zaalim duniya hai, jitna ho sake apne paas rakho..
Marzi se hi to tum tum ho...

bhavna2716 said...

waise i think arun was rgt usne sahi devdas select kiya tha 4 his film. he he! ;-)

lots of contradictions but life is like that

Vicky's world said...

greattttttttttt
Simply gr8
no words to say

kisi ek line ki tarif karoonga toh insaaf na hoga!