Sunday, October 04, 2009

Kaka ki dukan

Sunne walon ko yakeen to nahi hota hai lekin kuchh bhi ho sach to sach hi hai. Hamara desh hai itna bada, itne saare log hain, itane saare raajy, un raajyon men jile, tahasiil, aur n jaane kitane kolej hain. lekin itanaa sab kuchh alag alag hone ke baavajood bhii yek aisi cheej hai jo mere aur mere jaise logon ki jindagi men bahut hi milati julati hai aur vo hai kaakaa ki chay ki dukaan.
Ye ek aisi jagah hai jo Jammu aur Kashmir se Tamil Nadu tak alag alag naam se jaani jaati ho jaise Dilli ke JNU (Jawaharlal Nehru University) ke log Ganga Dhaba kahte ho, mere college ke log Kaka ki dukan to Maharashtra me chai chi tapri, lekin kaam aur din bhar me hone wale kriya kalapon me ko zyaada antar dekhne ko nahi milta.
Kaka aur unki dukaan ki bahut saari khoobiya hain, Kaka chalata to chai ki dukan hai lekin asal tour par dekha jaye to bahut bada financer hai. College ke har ladke ka inke yahaan par kahata chalta hai aur chai aur cigarrette me hi hazaaron rupyon ka udhar Kaka ne in sabhi khaate walon ko de rakha hai. Har maheene rakam badhti jaati hai aur jab bhi paani sar par aa jaata hai to aadha ya chouthai hisab karke log apni credit limit badhva lete hain.
College se class gol karne wale apne time pass ka saman Kaka ke locker me hi rakhte hain, locker me zyaada kuchh nahi hota, do bat, teen stumps aur ek Cosco ki tennis ball. In sabhi ke alava Kaka ke locker me kuchh baseball aur hockey palyers bhi apni kit rakhte hain lekin ye wo players hote hain jinhone baseball ya hockey aaj tak nahi khela lekin apni 'boxing' aur 'wrestiling' ke liye kisi Olympic gold medalist se bhi zyaada mashhoor hote hain.
Chay ki ye chhoti si dukan ko chhota samajhne ki galti kabhi na keejiyega, ye dukan 10 Janpath, ya 11 Ashoka Road se kam nahi hai, college election ka har chhote se bada decision is dukan me hi hota hai.
Sahi tour par dekha jaye to kaka ki ye dukan wo karti hai jo aaj tak is duniya me mandir, masjid, gurudvare aur church na kar sake. In sabne jahaan sabhi logon ko milane ki jagah alag alag kiya waheen ek chhoti si dukan me log apna dharm aur jaati se kaheen oopar aakar ek saath baithte hain.
Desh ko disha dene wale hamare safedposh neta jinhe desh ki yuva peedhi ko ekta ki raah dikhni thi wo chhatrsangathano ke naam par desh ki takat ko todne par tule hai, par Kaka ki dukan me ye takat kuchh had tak judti hui dikhai deti hai. Kaash aisi hi ek chay ki dukaan humari Lok Sabha me bhi ho, aur shayad alagavvad aur is alagavvad ki rajneeti se is desh ko mukti mil sake.