Friday, March 30, 2007

Asliyat...


Rajneeti ke tamam hathiyaron ka prayog dekhne ke liye sabse achchha maidan kounsa ho sakta hai? Sabse pahle souchne par mere dimag me Rome ka naam aaya lekin phir maine socha ki wo to sirf hathiyaron ke liye hi itihaas ke pannon me darj hai. Kafi sochne ke baad jab main thak kar choor ho gaya aur sone gaya to kuchh hi der ke baad ek bhayanak khwab ne poore badan ko paseene se tar kar diya. Saansen Madhya pradesh se Himalaya aur Himalaya se Kanyakumari tak doud laga rahi theen. Gale aur zuban par Thar aur Jesal mer ke registani ahsaas the. Ankhon ke aage sab kuch hote hue bhi kuch nahi tha.

Jis maidan ki talaash main kai dino se kar raha tha us hi maidan ke do aadam khor shaitan mujhe khwab me dikhai diye. Ek poorv Grah Mantri aur doosra Manav Sansadhan Vikas Mantri. Dono hi dikhne me to aam aadami ki tarah the lekin jin logon ne unhe kareeb se jaana hai aur unki bhookh ke shikar bane hain wo is khwab ko dekhne ke baad apni jaan bhi de de to koi itaffaq nahi hoga.
Reservation ke jis bill ko lekar hazaron aur lakhon jawan bhookhe aur pyase rahe unke saari himmat aur mehnat ko apne pairon tale roundate hue sadan me bill ko pass kar diya gaya. Lekin is bill ke pass hone ke baad me bhi kai sawal iske saath grahlakshmi ke jinn ki tarah chipke rah gaye.
Aur unhi sawalon par Suprem court ne khayal karte hue is bill ko philhaal rok diya hai. Lekin is rok ke saath me ab sawaal khade hote hain ki jab bill me khamiyan thi to janta ka bhala karne ka dikhava karne wala 'Vipaksh' abhi tak chup kyon baitha raha? Bill me Hindustan ki tadat ka paimana 75 saal purane (1931) aankadon ko banaya gaya hai. Jabki uske baad desh me kitni hi baar logon ki ginti ki ja chuki hai. Sabse badi baat yeh ki is baat ko jaante hue bhi Vipaksh ki chuppi kis taraf ishaara karti hai.
Manjara bilkul sahi hai ki satta ke galiyaron me dosti aur rishte sabhi matlab ki neev par bante hain. Apne vote bank ko bachakar rakhne ke liye is baar vipaksh ke netaon ne bhi bill par thodi si bahas karke saare mamle ko apne safed kapdon ki chakachoundh me chhupa liya.
Kulmilakar baat yahi par aati hai ki saare mudde aur bahas jo bhi satta ke galiyaron me ki jaati hai wo ek chhalava hai. Range - pute chehron aur safed kapdon ke peechhe agar aam aadami dekhne ki koshish karega to kuchh aisa dikhai dega jise dekh kar use zindagi aur mout me fark samjhne me ek pal bhi na lagega.

1 comment:

Me Thinks.. said...

Chennai mein bandh, AIIMS mein violence, har jagah panga seedha govt ki bevakoofi ki vajah se, vipaksh ke vipaksh mein tumne bahut badhiya likha hai...lekin mujhe lagta hai ki democracy mein hi sab panga hai...
what we need is semi-dictatorship...
To 'transform India' aur vo kaam hum kar sajte hai...
Chahe to...