Friday, February 16, 2007

Nakaab...

Sookhe hue zakhmo ko dekhoon aaj
khoya kya aur kya chhuta sochun aaj.

Ungaliyon ki chhuan jo thi ungaliyon par kaheen
aankhen khol jee bhar unhen dekhoon aaj.

Chehron me nazar aata hai ek hi chehra
Nakab chehron par rakhoon ya pochoon aaj.

Kaanten hain yahan har ek gul me

Dil me rakhoon ya door inhe fekoon aaj.

Dooriyon me kasak hai zamane ki
thukra doon ya phir us dar par loutun aaj.

Thursday, February 15, 2007

Suroor......

Saanson ki fislan jism se mahsoos hoti hai
Khwahishen bhi kis had tak magroor hoti hain.

Ret ki tarah bikharta jaata hai waqt
Kareeb tanhaiyan aur khushiyan door hoti hain.

Mousam ka aana wazib hai salon saal
Baharen ab yahaan se kafoor hoti hain.

Roushani ki chahat me kahan tak jaoge
Chandani bhi gam me ab masroof hoti hai.


Duniya ne kaha ishq to haraam hai
Laga hame bhi Muhhabat sirf ek suroor hoti hai.