Saanson ki fislan jism se mahsoos hoti hai
Khwahishen bhi kis had tak magroor hoti hain.
Ret ki tarah bikharta jaata hai waqt
Kareeb tanhaiyan aur khushiyan door hoti hain.
Mousam ka aana wazib hai salon saal
Baharen ab yahaan se kafoor hoti hain.
Roushani ki chahat me kahan tak jaoge
Chandani bhi gam me ab masroof hoti hai.
Duniya ne kaha ishq to haraam hai
Laga hame bhi Muhhabat sirf ek suroor hoti hai.
5 comments:
Roushani ki chahat mein kahan tak jaoge...
chandni bhi gham mein ab masroof hoti hai...
Ab isse zyada koi kya keh sakta hai?
Beautiful...I cant say anything more than that..
ohh my god mohabat sarror hoti hai hoti thi yaar jab tak sacha pyaar nahin milta hai now I got so I cant say tht I love this person like anythijng & i m sue u too but circumstancs cant be in favour always hain na!! but wait there must be some one for u For ur kinda Mohabbat for this post two words!!!
Hats off!!
@MT.. Sawaalon ke siva kabhi hamne kuchh na kaha. Itana jaana ki ab poochhne ko kuchh na raha..
@MS.. Sachchai aur pyar dono alag alag baten hai. jahan sach hai wahan pyar nahi ha kabhi kabhi pyar zindagi ki sachchai hoti hai.
i think you know what pyar here i am talking about.
Ret ki tarah bikharta jaata hai waqt........good line !
good the very next day u realise that
Muhhabat sirf ek suroor hoti hai.
Post a Comment