Monday, September 17, 2012

Raat Ki Baat

Ye raat apne syaahpan me, kya kya nahi le jaati hai
Chand sapno ko dikhakar, karwate de jati hai
Note ki gaddi batakar, sikkon ko chheen jaati hai
Is raat me bikte hain imaan bhi yahaan dastoor bhi
Vardiyon me baith kar ye jism tak kha jaati hai
Ye raat apne syaahpan me kya kya nahi le jati hai

Le jaati hai ye dosti ko dushmano ki fouj me
Zindagi ko sulaati mout ki aagosh me
Bin baat ke pahre kai ye leke bhi aa jaati hai
Aur chulhe ki hi aag se ghar tak jala ke jaati hai
Chand sapno ko dikhakar, karwate de jati hai
Ye raat apne syaahpan me, kya kya nahi le jaati hai

Mazhabon ke naam par insaaniyat ki laash hai
Chappe chappe me wahaan barbadiyon ki baat hai
Ye raat apne hi nashe me jab dhutt si ho jaati hai
To kya aman aur kya sukoon ye sabka khoon pi jaati hai
Ye raat apne syaahpan me, kya kya nahi le jaati hai
Chand sapno ko dikhakar, karwate de jati hai

Thursday, September 13, 2012

Ye Duniya

Duniya hai kaisi, ye kaisi hai duniya
Dhuaan aur andhere bhari hai ye duniya
Kabhi nochti, kabhi sochti, kabhi lootati to kabhi bolti...
Girati, uthati, jagati, sulati...
Kisi roz sabki hawayen udati...
Tumhari ye duniya, humari ye duniya
Badi khudgarz aur matlabi hai ye duniya.

Charagon ke badle deti hai angaare
Tod deti hai jo bhi sapne sanwaare
Aandhi si aati, toofanon si jaati
Jhakjhor deti sabhi ko ye duniya
Duniya hai kaisi, ye kaisi hai duniya
Badi khudgarz aur matlabi hai ye duniya.

Matlab ke matlab se lab hain lab-aa-lab
Mouke ko talashe hain ab yahaan sab
Tere sar pe kiski topi rakhi hai
Topi me teri, kiska hai rakha sar
Yahi sab to baaten jhel jaati hai duniya
Tumhari ye duniya, humari ye duniya
Badi khudgarz aur matlabi hai ye duniya
Duniya hai kaisi, ye kaisi hai duniya....