Thursday, March 29, 2007

Kam aur Gum

Dil Gumsum, zubaan KhamoshYe Aankhein Aaj Yu Nam Kyu Hai,
Jise Kabhi Paya Hi Na Tha , Khone Ka Unhe Aaj Gum Kyu Hai.

Mahfilen, kafile, Hungama aur shor hai yahaan.
Bheed ke saath hota hai jism har baar tanha man kyun hai.

Karigari kajrari aankon ki, utar gayi teer si dil me mere.
Un aankhon se milkar aankhen,ghayal sirf hum kyu hai.

Baaton ka asar jannat ko bhi pheeka karta tha.
zahar ka diya dard bhi aaj judai se kam kyu hai.

Doorie ka ahsaas deta hai har darakht baag ka.
Nazdeekiyon ka dimaag me zaalim bharam kyu hai.

2 comments:

Me Thinks.. said...

Karigari kajrari aankon ki, utar gayi teer si dil me mere.
Un aankhon se milkar aankhen,ghayal sirf hum kyu hai.
Sexy line!
welcome back Mr. shayar, kahan the aap?
Ghalib phir aa gaye..;)

Cosmos said...

@MT.. Shukriya lekin aapko ye guman hona chahiye ki ye sab mere dimag me kis tasveer se mukhtalif hone ke baad aata hai.