Wednesday, March 14, 2007

Bhool Gaye..

Dahleej par meri wo aana bhool gaye.
Choukhat par ham hi diya jalaana bhool gaye.

Aati hui lahron ko ilazaam kyon de hum
Saagar ki chah me apna hi kinara bhool gaye.

Kahte hain zindagi ke kartab hai ajeeb
Ek ajeeb dhang se Mout ka jurmaana bhool gaye.

Mahlon ko banane ki aukat nahi thee
Ab to gharondon tak ke jazbaat bhool gaye.

Bhoolna aadam ki aadat ka hai nishan
Jaddojahad ke is dour me hum aadam jaat bhool gaye.

3 comments:

Vicky's world said...

Shailesh,
Bade dino baad Achchi line padi hai yar specially

Mahlon ko banane ki aukat nahi thee
Ab to gharondon tak ke jazbaat bhool gaye.

sahi hai yar is dunia main har koi chal raha hai par yeh pata nahi ki rukh kis aur ka hai?

good work

keep it up.

bhavna2716 said...

nice lines or rather say very effective i liked the line Aati hui lahron ko ilazaam kyon de hum
Saagar ki chah me apna hi kinara bhool gaye.
but i was not able to essence what it is all about !

Me Thinks.. said...

I second whatever vicky and NW said... amazing lines, cant single out any, all lines are mind blowing, but i dint understand the last line..

Bhool gaye? bhoolna to mera kaam hai, tumhara nahi..