Friday, March 30, 2007

Alvida Anil...






Is duniya me insaan jo chahta hai wo use hamesha nahi milta. Lekin kuchh log aise bhi hote hain jo apni lagan, mehnat aur junoon ke bal par, na pakar bhi kaheen zyaada pa lete hain. Aisi hi himmat aur mehnat se apne naam ke saath me apne hindustan ka naam chahun aur roushan karne wale insaan Anil Radhakrishna Kumble.

17 October 1970 ko Bangalore me janme aur R.V. college of Engineering se machanical engineering ki digree pane wale kumble ne apne one day career ka aagaz 25 April 1990 ko Sri lanka ke khilaf Sharjahan me kiya aur iske baad to jaise unhone duniya ke dhurandharon ko pavellion me aarama karvane ka kaam apne jimme hi le liya.

Apne one day career ki shuruat ek medium pacer ke tour par karne wale is mahan spinner ne one day cricket me 331 wicket lekar apna naam 300 se zyaada wicket lene wale gendbajon ki fehrist me chouthe mukam par pahuncha diya. Kumble ne apne 17 saalon ke one day career me kai khitaab apne naam darj karvaye. One day cricket me apni hi gend par sabse zyaada catch lene wale Anil duniya ke pahle gendbaj hai, yeh kaam unhone ne 25 baar kiya hai.

Padma Shri, Arjun Award, Wisdon Cricketer of the year aur Cricket mahakumbh me chaar baar hissa lene jaise bade bade khitabon ko paane ke baad Jumbo ka jeevan bada hi saada hai. Khali samay me Sangeet aur Kitaabon ke shoukeen Kumble apni chhuttiyan adhiktar apne parivaar ke saath hi bitate hain.

Uske theek doosari taraf maidan me Anil apni gend aur balle ke saath kuchh khas hi nazar aate rahe. 1996 me Australiya ke saath Titan cup me lag bhag haar hue match me 'Jumbo' ( Gendon ki raftar ke liye Nayan Mongiya ka diya hua naam) apne balle ka bhi kamaal dikha kar poore desh ko apna deewana kar liya wahi theek agle match me South Africa ke Khilaf unki ghoomti hui googliyon ne sone par suhage ka kar diya. Yeh lamha un anek lamhon me se ek tha jinke bal par Anil ne Hindustan hi nahi balki poori duniya ke cricket premiyon ke dilon me ek mukaam hasil kiya.

Raftaar se ghoomti flipper aur googly, paanch kadmo ka behtreen run-up aur hava me haath utha kar zordaar appeal karne ka wo anokha andaaz dekhne ko ab cricket premi tarsa karnege. Lekin hindustan ke cricket ko abhi bhi Kumble se bahut umeeden hain. Ho sakta hai Cricket ke is beshkeemati HEERE ka hi koi tarasha hua HEERA kal phir se cricket ki duniya ko roushan karta dikhai de.

2 comments:

bhavna2716 said...

yaar tu DD chode aapki lekhni aajkal kuch jyada hi warta karne lagi hai
i can imagine kumbalo ko apna run-up pura kar hath ghumate hue but i would expect some more..

Me Thinks.. said...

Howzzat? Last para too good. Amazing cricketer, his ten wicket haul in that test match Vs Pakistan in ferozshah Kotla in delhi is clearly etched in my memory.
He sings also amazingly well, jumbo in everything he does. All good things must end. The guy is a gem and his magic with the ball will always be remembered. I can go on and on about him. Tumne likh diya, mujhe likhne ki koi zaroorat nahi ;)