Friday, March 30, 2007

Alvida Anil...






Is duniya me insaan jo chahta hai wo use hamesha nahi milta. Lekin kuchh log aise bhi hote hain jo apni lagan, mehnat aur junoon ke bal par, na pakar bhi kaheen zyaada pa lete hain. Aisi hi himmat aur mehnat se apne naam ke saath me apne hindustan ka naam chahun aur roushan karne wale insaan Anil Radhakrishna Kumble.

17 October 1970 ko Bangalore me janme aur R.V. college of Engineering se machanical engineering ki digree pane wale kumble ne apne one day career ka aagaz 25 April 1990 ko Sri lanka ke khilaf Sharjahan me kiya aur iske baad to jaise unhone duniya ke dhurandharon ko pavellion me aarama karvane ka kaam apne jimme hi le liya.

Apne one day career ki shuruat ek medium pacer ke tour par karne wale is mahan spinner ne one day cricket me 331 wicket lekar apna naam 300 se zyaada wicket lene wale gendbajon ki fehrist me chouthe mukam par pahuncha diya. Kumble ne apne 17 saalon ke one day career me kai khitaab apne naam darj karvaye. One day cricket me apni hi gend par sabse zyaada catch lene wale Anil duniya ke pahle gendbaj hai, yeh kaam unhone ne 25 baar kiya hai.

Padma Shri, Arjun Award, Wisdon Cricketer of the year aur Cricket mahakumbh me chaar baar hissa lene jaise bade bade khitabon ko paane ke baad Jumbo ka jeevan bada hi saada hai. Khali samay me Sangeet aur Kitaabon ke shoukeen Kumble apni chhuttiyan adhiktar apne parivaar ke saath hi bitate hain.

Uske theek doosari taraf maidan me Anil apni gend aur balle ke saath kuchh khas hi nazar aate rahe. 1996 me Australiya ke saath Titan cup me lag bhag haar hue match me 'Jumbo' ( Gendon ki raftar ke liye Nayan Mongiya ka diya hua naam) apne balle ka bhi kamaal dikha kar poore desh ko apna deewana kar liya wahi theek agle match me South Africa ke Khilaf unki ghoomti hui googliyon ne sone par suhage ka kar diya. Yeh lamha un anek lamhon me se ek tha jinke bal par Anil ne Hindustan hi nahi balki poori duniya ke cricket premiyon ke dilon me ek mukaam hasil kiya.

Raftaar se ghoomti flipper aur googly, paanch kadmo ka behtreen run-up aur hava me haath utha kar zordaar appeal karne ka wo anokha andaaz dekhne ko ab cricket premi tarsa karnege. Lekin hindustan ke cricket ko abhi bhi Kumble se bahut umeeden hain. Ho sakta hai Cricket ke is beshkeemati HEERE ka hi koi tarasha hua HEERA kal phir se cricket ki duniya ko roushan karta dikhai de.

Asliyat...


Rajneeti ke tamam hathiyaron ka prayog dekhne ke liye sabse achchha maidan kounsa ho sakta hai? Sabse pahle souchne par mere dimag me Rome ka naam aaya lekin phir maine socha ki wo to sirf hathiyaron ke liye hi itihaas ke pannon me darj hai. Kafi sochne ke baad jab main thak kar choor ho gaya aur sone gaya to kuchh hi der ke baad ek bhayanak khwab ne poore badan ko paseene se tar kar diya. Saansen Madhya pradesh se Himalaya aur Himalaya se Kanyakumari tak doud laga rahi theen. Gale aur zuban par Thar aur Jesal mer ke registani ahsaas the. Ankhon ke aage sab kuch hote hue bhi kuch nahi tha.

Jis maidan ki talaash main kai dino se kar raha tha us hi maidan ke do aadam khor shaitan mujhe khwab me dikhai diye. Ek poorv Grah Mantri aur doosra Manav Sansadhan Vikas Mantri. Dono hi dikhne me to aam aadami ki tarah the lekin jin logon ne unhe kareeb se jaana hai aur unki bhookh ke shikar bane hain wo is khwab ko dekhne ke baad apni jaan bhi de de to koi itaffaq nahi hoga.
Reservation ke jis bill ko lekar hazaron aur lakhon jawan bhookhe aur pyase rahe unke saari himmat aur mehnat ko apne pairon tale roundate hue sadan me bill ko pass kar diya gaya. Lekin is bill ke pass hone ke baad me bhi kai sawal iske saath grahlakshmi ke jinn ki tarah chipke rah gaye.
Aur unhi sawalon par Suprem court ne khayal karte hue is bill ko philhaal rok diya hai. Lekin is rok ke saath me ab sawaal khade hote hain ki jab bill me khamiyan thi to janta ka bhala karne ka dikhava karne wala 'Vipaksh' abhi tak chup kyon baitha raha? Bill me Hindustan ki tadat ka paimana 75 saal purane (1931) aankadon ko banaya gaya hai. Jabki uske baad desh me kitni hi baar logon ki ginti ki ja chuki hai. Sabse badi baat yeh ki is baat ko jaante hue bhi Vipaksh ki chuppi kis taraf ishaara karti hai.
Manjara bilkul sahi hai ki satta ke galiyaron me dosti aur rishte sabhi matlab ki neev par bante hain. Apne vote bank ko bachakar rakhne ke liye is baar vipaksh ke netaon ne bhi bill par thodi si bahas karke saare mamle ko apne safed kapdon ki chakachoundh me chhupa liya.
Kulmilakar baat yahi par aati hai ki saare mudde aur bahas jo bhi satta ke galiyaron me ki jaati hai wo ek chhalava hai. Range - pute chehron aur safed kapdon ke peechhe agar aam aadami dekhne ki koshish karega to kuchh aisa dikhai dega jise dekh kar use zindagi aur mout me fark samjhne me ek pal bhi na lagega.

Thursday, March 29, 2007

Kam aur Gum

Dil Gumsum, zubaan KhamoshYe Aankhein Aaj Yu Nam Kyu Hai,
Jise Kabhi Paya Hi Na Tha , Khone Ka Unhe Aaj Gum Kyu Hai.

Mahfilen, kafile, Hungama aur shor hai yahaan.
Bheed ke saath hota hai jism har baar tanha man kyun hai.

Karigari kajrari aankon ki, utar gayi teer si dil me mere.
Un aankhon se milkar aankhen,ghayal sirf hum kyu hai.

Baaton ka asar jannat ko bhi pheeka karta tha.
zahar ka diya dard bhi aaj judai se kam kyu hai.

Doorie ka ahsaas deta hai har darakht baag ka.
Nazdeekiyon ka dimaag me zaalim bharam kyu hai.

Wednesday, March 14, 2007

Bhool Gaye..

Dahleej par meri wo aana bhool gaye.
Choukhat par ham hi diya jalaana bhool gaye.

Aati hui lahron ko ilazaam kyon de hum
Saagar ki chah me apna hi kinara bhool gaye.

Kahte hain zindagi ke kartab hai ajeeb
Ek ajeeb dhang se Mout ka jurmaana bhool gaye.

Mahlon ko banane ki aukat nahi thee
Ab to gharondon tak ke jazbaat bhool gaye.

Bhoolna aadam ki aadat ka hai nishan
Jaddojahad ke is dour me hum aadam jaat bhool gaye.

Monday, March 05, 2007

Dhoop Ke Saath..


Sadakon par bhatakta raha main raton ko.
Takdeer ki lakeeron ki chahat rah gayi hathon ko.

Muddaton se karta raha koshish kuchh kahne ki
Lafzon ki kami rah gayi har baar baaton ko.

Aaine me chand dikha dhoop ke saath mujhe
Nigal gaya bharam masoom khayalaton ko.

Sooni aankhon me ashkon ka sailaab utha
Baha diya usme tamaam armaano ko.

Mushkil hai zinda rahna bin ab tere is jahan me
Aazadi chahiye jism se in gulam saanson ko.