Saturday, January 13, 2007

KYON...


Kisi ki peshani ki lakeeron ko dekh laga yoon
sare jahan me hai shakhs pareshan kyon.

Gamon ka saya to sabhi par padta hai
kisi ke jane par ye ashkon ka dariya kyon.

Bachche ka rona aangan me lage pyara
bachchi ki kilkariyon pe ye hangama kyon.

Ameer ke ghar ka alaav ghee se jala
Gareeb ke choolhe aur ghar me andhiyara kyon.

Sabak dete samjhate hain log sabhi ko
Aaine me dekhne ka khud ko nahi koi paimana kyon.

9 comments:

Anonymous said...

i just cant express in my own words hw fascinating u written incrdible man!!
Rashmi..

Me Thinks.. said...

your last lines in all your posts are amazing...

isme bhi..
well written again, i dint understand a few words...

yehi sawaal tho sab pooch rahe hai..
ab chahe vo shayar ho ya hum jaisa aam aadmi..

kyun?

Cosmos said...

@ MT.. I want this question in mind of every indian. And that we can do.

bhavna2716 said...

good thoughts dushyant kumar n ekah hai na :
Pak gayi hai aadte baatoo se sar nahi hogi
Koi hangama karo aise gujar nahi hogi

bhavna2716 said...

good thoughts dushyant kumar n ekah hai na :
Pak gayi hai aadte baatoo se sar nahi hogi
Koi hangama karo aise gujar nahi hogi

Cosmos said...

@ NW.. Ha yahi to main bhi kah raha hoon aur unhone hi kaha ke
"Mere seene me nahi to tere seene me sahi ho kaheen bhi aag lekin aag jalni chahiye"

mystupendoussalvation said...
This comment has been removed by the author.
mystupendoussalvation said...

U know wat duniya ko jo kavi ya shayar apne shabdon mein ahmiyat dede unka parvaan chada de to samjho duniya ki parakh ho gayi very well written!!

Sh'shank said...

arre reham kar zaalim
kyon kya puchta hai
puchna hai agar to aye mera bhai yeh puch ki kya hain puchne mein rakha agar kuch karna nahin us kyon ke arth ka...
Sabak to deta kyon hain...
kyon yun puchta kyon hai
kar agar hain kyon ki chahhat itni
puchne mein kya rakha hain...

mind boggling again this time...
Kudos
for Zindadilli I think you are quite a phenomenal hindi poet and I have read quite a few...
the pleasure is all mine and I express my gratitude to you for introducing me to ur poetry...
gracias