Wednesday, January 10, 2007

Tujh Par...

Katara katara dhoop ka girta hai tujh par
Ye rang abra ka bahut khilta hai tujh par.

Aaj se pahle kabhi dekha na tujhe aise
Kahan se aaya hai ye shabab tujh par.

Ghayalon ki fehrist me dakhil ho jaun main bhi
Waise bhi ilzam kahan padta hai tujh par.

Honsh walon ke hawaas guma diye tune
Ab to anpad bhi sare aam likhta hai tujh par.

Galiyon se guzarna mushkil ho gaya hai mere
Har ek shakhs shahar ka marta hai tujh par.

4 comments:

Me Thinks.. said...

wah wah!
tu shayar tho nahi! magar kisi haseen ne tujhe bada achcha shayar bana diya hai...

bhavna2716 said...

Miya galib aap dharti par wapas kaha se aa gaye!! ;)

mystupendoussalvation said...

bahut khub aapne unhe nikhara hai apne likne se in khubiyon ko dondhne ke liye najron ka nahin pyaar ka hona zarrori hai, jab janene lage hum bhi unhe ab unki har baat apni si lagti hai unke rone pe bhi ab humein pyaar aata hai or unke hasne par humein ithlana!!

Cosmos said...

@MY.. Bilkul sahi hai par shayad main Aankhon ki bajay man ki aankhon se hi dekh pata hoon.