Friday, January 26, 2007

Hindustan...


Paach hazaar varsh pahle hamare desh wasi ved mantron ka uchcharan kar ke param pita parmeshwar se yachna karte the "sabka bhala karo bhagwan sabko sukh aur shaanti do" aur 500 varsh pahle bhakti ke darshak Guru Nanak Dev ne is hi baat ko saral bhasha me duhraya me "nanak naam chadhdi kala tere paande sabka bhala".
Parantu sabke liye sukh aur shaanti maangne wale hindustani kya khud sukh se rah sake? Rahte bhi to kaise unki dharti ka doosra naam "sone ki chidiya hai jiski mitti me sona aur jungalon me chandan hai".

Shayad is hi liye prakruti ne iski suraksha ke liye uttar me himalaya dakshin me hind mahasagar, poorab me Bangal ki khadi aur pashchim me thar ka registan bana diya tha.
Phir bhi sone ki chamak aur chandan ki khushboo baahar ke hamlavaron ko lubhaati rahi, Sikandar ke ghodon ki tapon ne hamari dharti ke seene kee dhadkane tez kar dee Mangol, Arab, Mugal,Purtgali, Francisy aur Angrez koi bhi peechhe na raha sab aaye aur aate hi rahe.
shayad nahi jante the jahan duniya wale apni apni matrbhoomi se pyar karte hain wahin hindustani apni matrbhoomi ki pooja karte hain
.
Karod hindustaniyon ki bhavnaon ko shabdon me dhalte hue hi to bankim babu ne kaha tha "Sujlam suflam malyaj sheetlam shashya shamlam matram " hamlavaron ko haar maan kar jaana pada aur kuchh log yahin ke ho kar rah gaye unhe hamari dharti maa ne god le liya aur itihaas sakshi hai maa ne apni kokh se janme aur god liye bachcho me kabhi antar nahi rakha shayad is hi liye jab jab kisi hamlawar ne hamari dharti par kadam rakhna chaha sab bachche seena tan kar khade ho gaye aur seema suraksha ki deewar khadi ho gayi.
Hamlawar is deewar se takrakar wapas jate rahe jo 1962 me hua wahi 65 me aur wahi 71 me har baar hindustaniyon ne wapas jaate hue dushman ki taraf dosti ka haath badhaya kyon ki hamari dharti ne hame sikhaya hai ki agar nafrat karne wale nafrat ka daman nahi chhodte to muhabbat karne wale muhabbat ka daman kyon chhode.


(Courtesy "Border")

4 comments:

Me Thinks.. said...

I liked the colours that you have used, signifying the flag....
Nice idea..

Phir se rongte khade kar diye tune...

Happy Republic Day

Jai Hind

bhavna2716 said...

Kargil ki yaade taza karane ke liye aur is khas din tirange ke rang blogger par bikherane ke liye i cant say nothing but
jai Hind !jai Hind ki sena

Vicky's world said...

nice msg, really very nice way to put that in.

but nice stuff.

jai hind.

Anonymous said...

Nice brief and this post helped me alot in my college assignement. Say thank you you seeking your information.