Din jiska maine teen saalon tak intazar kiya har ek pal sirf ek hi aarman dil me tha kis tarah aakhiri ki kataron se nikal kar sabse aage pahunch jaun. Himmat to itni thi ki pal bhar me wahan chala jaun par logon ki baton ka khayal aa gaya. Log kya kahenge bade bhai ki wajah se pahle hi saal me khada ho gaya aage ja kar. Ek bar phir apni jaldbaji me bhai ka naam badnaam na ho to ek saal ka ek lamba safar phir se shuru ho gaya. Lekin is bar aakhiri katar se nikal kar main theek us jagah ke peeche aa chuka tha jahan main jana chahta tha.
Ek saal wo hi khaki vardi par is bar kandhon par Lal nishan the. Lekin duniya me koi kuchh bhi kar sakta hai lekin logon ki zuban ko pakadna namumkin hai, wo hi saari baten hone lagi jinhe rokne ke liye apne safar ko maine lamba karna munasib mana tha. Bhai ne kaha "Tu ye kali patti wali rank laga kar kya kar lega agar platoon commander banna hai to sunahri (golden) rank honi chahiye." "Tu un logon ki baten hi kyon sunta hai jo khud saalon se kuchh nahi kar paye" bahi bola. Bat to sahi thi aur sach kahoo to mere dimag me janch gayi thi. Ab to sirf ek hi manzil hai wo kaise bhi kar ke TSC poora karna. Mujhe pata tha jis jagah par main khada hona chahta hoon wo bahut hi chhoti hai par shayad meri khwahishen hi chhoti hain.
Sare imthaan, sari takleefen aur sari mushkilen sabhi tinkon ki tarah udti ja rahi thee. Firing, night march, map reading sabhi bahut bada tha mere sathiyon ke liye par mere chhote se lakshya ke samne kuch nahi. Kab mere kandhe sunahre ho gaye khud hi pata na chala.
Itna sab karne ke bad me ab shayad logon ke pas kahne ko kuch rah na gaya tha ya phir kahne ki koowat. Ab meri manzil aur mujh me sirf chand logon ki muhar lagni baki thi magar jis muhar ki mujhe jaroorat thi wo to mere Sir (bhai) laga chuke the.
"Intazaar kisi ka kab tak kiya jaye ek din to sab hassil hai" mere hi likhe lafz mere dimag me the jab us jagah par khada main aapne Tirange ko Salaam (salute) kar raha tha. Khaki kalafdar (starched) vardi, Golden ranks aur wo sabhi jo main pahle bahut bar pahan chuka tha lekin pahli bar unki keemat mahsoos hui thi. Har pal yahi lagta tha bus waqt yaheen ruk jaye par wo ho nahi sakta tha. Ek awaaz par sare kadam ek sath chal pade aur wo nazara dekhne ko mere aansoon bhi betab ho kar aankhon ke kone se jhankne lage the. Wo pukar jis par poore platoon ke kadam aur chehre ek sath uthe the wo kisi kargil ke jawan ko undar baitha gayi thi.
Mujhe kounsi bat wahan bulati thi aaj tak pata nahi par main kabhi bhi apne aap ko rok na pata tha(Aaj bhi nahi rok pa raha hoon). Lekin pyar sathiyon ka, har kadam par sath aur sabse bada unka bharosa jo mere peeche hatne wale kadmon ko bhi rok lete the.
Shoukat ka turnout ho Harsh ka salute, Gajju ka file formation ya Jat ko harane ki shart sab apne aap me lajawab the.
Ek saal bad phir se aisa lagta hai ki us hi pared ground me milkar phir se milkar Tirange ko wo salaam de jiske bad hume khud par naaz hota hai. Wo hi aawaz laga de koi jis par hum phir se anek kadmon ko ek taal par milakar chalte the.
Salaam ke hakdar to tum log bhi ho jinhone mera har tarah se sath diya us Tirange ko salaam karne layak banne me.
Tujhe salaam Dada(bhai) tu har waqt me mere sath hai ye janta hoon main.
Shoukat miya tumhe salaam kar ke main apni hi izzat badhata hoon tujhe dekhkar logon ko pata chalta hai ki dosti me koum koi mayne nahi rakhti.
Harsh: tune mujhe har bar salaam kiya hai lekin aaj tu jis jagah par khada hone ja raha hai whan pahunchne ki mehnat ko mera salaam.
Jat : tu na hota to shayad tujhse aage nikalne ki chahat hi nahi hoti salaam huzoor.
Gajju: tera hona mere sath hamesha takat ka ahsaas dilata tha tere jaisa right hand guide mujhe nahi milge aaj mera bhi salaam kubool kar
Rohit (now in army) : mere dost tujhe hamesha maine apna shooting guru mana hai aur ab to tu rank ke hisaab se bhi salaam lene layak ho gaya hai salaam guru!!
aur aakhiri me Desh ki Dhadkan
Tiranga tujhe har din salaam