Sunday, October 04, 2009

Kaka ki dukan

Sunne walon ko yakeen to nahi hota hai lekin kuchh bhi ho sach to sach hi hai. Hamara desh hai itna bada, itne saare log hain, itane saare raajy, un raajyon men jile, tahasiil, aur n jaane kitane kolej hain. lekin itanaa sab kuchh alag alag hone ke baavajood bhii yek aisi cheej hai jo mere aur mere jaise logon ki jindagi men bahut hi milati julati hai aur vo hai kaakaa ki chay ki dukaan.
Ye ek aisi jagah hai jo Jammu aur Kashmir se Tamil Nadu tak alag alag naam se jaani jaati ho jaise Dilli ke JNU (Jawaharlal Nehru University) ke log Ganga Dhaba kahte ho, mere college ke log Kaka ki dukan to Maharashtra me chai chi tapri, lekin kaam aur din bhar me hone wale kriya kalapon me ko zyaada antar dekhne ko nahi milta.
Kaka aur unki dukaan ki bahut saari khoobiya hain, Kaka chalata to chai ki dukan hai lekin asal tour par dekha jaye to bahut bada financer hai. College ke har ladke ka inke yahaan par kahata chalta hai aur chai aur cigarrette me hi hazaaron rupyon ka udhar Kaka ne in sabhi khaate walon ko de rakha hai. Har maheene rakam badhti jaati hai aur jab bhi paani sar par aa jaata hai to aadha ya chouthai hisab karke log apni credit limit badhva lete hain.
College se class gol karne wale apne time pass ka saman Kaka ke locker me hi rakhte hain, locker me zyaada kuchh nahi hota, do bat, teen stumps aur ek Cosco ki tennis ball. In sabhi ke alava Kaka ke locker me kuchh baseball aur hockey palyers bhi apni kit rakhte hain lekin ye wo players hote hain jinhone baseball ya hockey aaj tak nahi khela lekin apni 'boxing' aur 'wrestiling' ke liye kisi Olympic gold medalist se bhi zyaada mashhoor hote hain.
Chay ki ye chhoti si dukan ko chhota samajhne ki galti kabhi na keejiyega, ye dukan 10 Janpath, ya 11 Ashoka Road se kam nahi hai, college election ka har chhote se bada decision is dukan me hi hota hai.
Sahi tour par dekha jaye to kaka ki ye dukan wo karti hai jo aaj tak is duniya me mandir, masjid, gurudvare aur church na kar sake. In sabne jahaan sabhi logon ko milane ki jagah alag alag kiya waheen ek chhoti si dukan me log apna dharm aur jaati se kaheen oopar aakar ek saath baithte hain.
Desh ko disha dene wale hamare safedposh neta jinhe desh ki yuva peedhi ko ekta ki raah dikhni thi wo chhatrsangathano ke naam par desh ki takat ko todne par tule hai, par Kaka ki dukan me ye takat kuchh had tak judti hui dikhai deti hai. Kaash aisi hi ek chay ki dukaan humari Lok Sabha me bhi ho, aur shayad alagavvad aur is alagavvad ki rajneeti se is desh ko mukti mil sake.

Sunday, July 26, 2009

Dus saal: Kuch door, kuchh pass

Mujhe kuchh dino pahle tak bhi nahi pata tha ki Kargil Vijay Diwas ko kab manaya jaata hai aur sach bataun to aaj bhi mujhe pakka yakeen nahi ho raha tha ki Kargil ki jeet hamne dus saal pahle hasil ki thi. Aisa lagta hai ki kuchh hi dino pahle ki hi to baat hai jab hum seena taan kar Tiger Hills aur Tololing par Tiranga lahrane ki baat karte the.
Aaj ke din bahut se logon bahut si baaten ki, aur shayad main bhi kuchh aisa hi likhne ke mood se baitha tha. Lekin jab beete hue saalon par ek nazar dali to aisa laga ki jaise bahut kuchh badal gaya hai lekin phir bhi kuchh baate purani ho chuki hain ye yakeen nahi hota.
Kargil ki ladai me Pakistani fouj ki naak me dum karne wali Bofors toup jo ki 1999 ki is ladai ke baad har media channel ne TV screen par dikhai, waheen Bofors deal me sabse zyaada kamai karne wale Quatrochi ko humari sarkar ne clean chit de di.
Ek bahut hi badi khushi ki baat hui aaj tak jo Congress party apne aapko Kargil se jude har mudde se door rakhti thi aur BJP ko Kargil ke naam par kosa karti thi, wahi party aaj Kargil Vijay Diwas par poori tarah se shareek dikhai di aur Manmohan Singh ji ne humare shaheedo ke balidan ke badle me is desh ko bulandiyon par le jaane ki baat ki.
Lekin in dus saalon me hum log un netaon ko bhi kuchh nahi bigad paye jinhone ghinonepan ki had karte hue humare veer jawanon ke tabooton tak ko khane ki harkat ki thi.
Lekin jab kuchh na badlne ka yaad aaya to TV par Kargil aur Drass sector ki wo chotiyaan dekh kar mujhe wo din yaad gaye jab 1999 me Kargil ki jeet ke theek baad humare school me Kargil file ko lekar sab ek saat ek mission me jut gaye the.
Mission ke commander ke tour par Ganpat Singh Kunwar (Singh Sir) chune gaye. Singh sir, NCC ke pahle trainer rah chuke the aur waise bhi deel dol se koi bhi unko fauj ya me police ka retired officer samjhane ki bhool kar sakta tha.
Har claas ko apni ek alag file taiyyar karni thi jo ki class wise competition me jaati, aur jo log individual competition me jaana chahte the wo apni file personally submit karne wale the.
Kul mila kar goal ye tha ki students zyaada se zyaada samajh sake poori ladai ke baare me aur un logon ke baare me jinki wajah se saara desh aaj chain ki neend se sota hai aur sukoon se apna kaam karta hai.
Shuruati tour par hamesha ki tarah mujhe pata nahi tha ki kya ho raha hai, lekin jab thoda dhyan lagaya to pata chala ki karna kya hai. Dimag thoda dheere chalta hai is liye individual competition me jaane ka to khayal aana bhi paap hai lekin phir bhi Class wise compitetion me to battle field open tha. Wo bhi isliye ki Class XI thi sabhi log naye the aur wo bhi session ka pehla maheena tha to hamesha ki tarah mujhe is baar phir se ladkiyon ko impress karne ka ek naya mouka mil gaya.
Do ya teen dino me naam likhne shuru ho gaye aur files aur rules bhi fix ho gaye the. Class wise competition ke liye file me 50 pages the aur individual me 30 pages jinhe pictures, drawing, painting, poem, articles aur paper cutings se complete karna tha.
Kaam shuru hone ke shuruati do ek din to aise hi chale gaye lekin dheere dheere main is file me kuchh zyaada hi gahra utarta gaya.
India Today, Outlook, Nayi Duniya, Dainik Bhaskar aur na jane koun koun se news papers aur magazines ka intazaam karne lage hum log. Naye naye naare jaise "Dhoodh maango to kheer denge, Kashmir maangoge to cheer denge" kai saare hum ne jama kare. Pata nahi wo josh kahaan se tha shayad is hi liye Singh Sir ko chuna gaya tha.
Class file par karte karte mera ek naya dost, Jaydeep, kuchh alag sa karta nazar aaya, jab maine poocha to pata chala ki uski individual file hai jo abhi tak aise hi rakhi hai aur usne kuchh bhi nahi kiya hai. Seedhe tour par mere paas ek aur file aa gayi thi jis par mujhe kaam karna tha.
Is hi beech kaam karte karte mere dimaag me kuchh photos ghar karte ja rahe the jo aaj bhi meri aankhon ke saamne utne hi saaf hain jitne ki un dino me the.
Jaise ki Major Vivek Gupta ki patni Capt Jayshree Bisht ka apne pati ko aakhir salute karna, Vikram Batra aur unke bhai ka apni maan ke saath ka picture aise bahut se scene the jo dimaag ki hard disk me feed hote ja rahe the.
Uske thode din baad Dada (my elder brother) ko ghar par file par kaam karte dekha, ek aur file par kaam karne ka mouka mil gaya.
Is tarah se maine kul milakar lagbhag 12 se 13 files par kaam kiya.
Final results ke time par humari class ko first aur Dada ki class ko second place mila, individual file me bhi us ek file ko first place mila jis par maine kaam kiya tha.
Maine apni file nahi banai lekin sahi mano to mujhe kaam karne me wo sukoon mila jo shayad khud ki file banane me na milta, un logon ko jaanne ka mouka main kho deta, shayad mere dimaag ki hard disk khali rah jaati.
Singh sir aaj un logon ke saath hain jo Kargil me humare desh ko bachane me shaheed hue the. Aur shayad wo bhi unhe ye hi dus saal purani kahaani suna rahe ho.
Thank you sir to give me an opportunity to get to know our true heros
Thank you to everyone who trusted me to work on their files
And thank you to all of you in the uniform to save us and for making us feel proud of our nation.

Friday, April 17, 2009

Chalti ka naam zindagi ya gaadi...

Gaadi aur zindagi ka safar hai bahut hi khaas
Chalte dono hain, subah-o-shaam, din aur raat.

Darje bhi dono ke hain ek hi jaise
Zyaada daam me milta aaram to kam me milti hai khaak.

Padav bhi hote hain alag alag dono ke
Kuchh lagte hain ek se, kuchh me hoti hai ek alag si baat.

Musafir aate jaate kai hain dono me
Koi kuchh door tak to koi deta hai aakhiri tak saath.

Manzilen hoti hai har ek ki juda jaane ke baad
Kisi ki yaad aati hai tumhe to koi karta tumhe hai yaad.

Monday, March 23, 2009

The Indian Political League



The Indian Premier Leauge (IPL) jo ki pichale saal bahut si baaton jasie paisa badi hastiyan jaise Shahruk, Preity, Malya, Ambani, cheer leaders, videshi diggaj khiladiyon aur phir baad me Rajasthan Royals jaisi chhoti team ke pradarshan ke kaaran se mashhoor hua tha, aaj poore media me kisi aur hi baat ko lekar surkhiyon me hai.

Pahle to tareekh par tareekh, tareekh par tareekh (sounds like Sunny Deol) badalti gayi, aur is hi se tang aakar Rajasthan Cricket Academy ke chunav haar kar pahle se pareshan Lalit Modi ne apni bachi khuchi ijjat ko bachane ke liye saara ilzam sarkar ke sar par daalte hue sabhi tarah ke sitaron se lade is khel ko saat samandar paar le jaane ki baat keh dali.

Aur phir shuru hua asli khel: Lok Sabha chunav jiski garmi abhi tandoor jitni to nahi hui hai leking phir bhi tave par rotiyan sek paane ke kafi hai, usme sabse pahle apna dao maara BJP ke general secretary Arun Jaitley tam tamate hue kahne lage ki IPL ke bahar chale jaane se desh ka paryatan vyavsay prabhavit hoga. Unka kehna ye bhi tha ki jo desh sitara khiladiyon ki raksha nahi kar sakta wo aam paryatakon ki suraksha kaise karega, is hi binah par doosre deshon se log Bharat aana band kar denge. Aur unhone Wimbledon jaise kuchh international tournaments ki baat bhi kahi to aisa laga jaise Jaitley ji ko khel se kitna lagav hai, magar itna lagav hone ke baavjood bhi sirf ek saal baad Dilli me hone wale Commonwealth Games ke baare me baat karte kabhi dikhai nahi diye.
Lekin ek to Delhi Cricket Association ke president aur BJP ke GS hone ke naate Cricket ke paksh aur Sarkar ke vipaksh me to man mar kar bhi Jaitley sahab ko bolna padega. Par shayad ek baar Jaitley ji ne bolne se pahle ye to socha hota ki jo kuchh Lahore me Sri Lanka team ke saath hua khuda na khasta, Bharat me kisi doosre desh ke khiladi ke saath ho jaata to humare desh me cricket ke haalat Pakistan se bhi badtar ho jaate.


Phir saamne aaye Narendra ji Modi aur bol pade ki IPL ka desh ke baahar jaana 'National Shame' hai, lekin pahle ye na dekha unhone ki chunav ke doran Gujrat ko kitni para millitary ki battalion chahiye hogi. LoC par jo firing ho rahi hai desh ki sena sarhad samhalegi, chunav ke beech aantarik stithiyon se niptegi ya phir khiladiyon ki suraksha karegi?


Aur baat rahi IPL ke boss Modi ki to paise ke alaava is Modi ko kuchh aur dikhai nahi deta hai. Jab IPL-II schedule ka blueprint taiyaar kiya ja raha tha tab Boss ke dimaag me kuchh match England me rakhne ka khayaal aaya tha kyonki ek badi team Royal Challengers ke Mallya ka ek bada establishment England me moujood hai aur is team ke supporters bhi. Jab wo plan safal na hua to mouka milte hi Boss ne poora tournament shift karne ki baat kar daali.

Ek waqt aisa tha jab Boss kah rahe the ki unhe Bharat ki janta se bahut pyaar hai aur unhi ke liye ye tournament ho raha hai lekin bahar jaane ki baat karne se pahle Boss ke dimaag me ek baar bhi us pyari janta ka khayal na aaya.

Khair Indian Premeir League-2 aur India Political League-15 ka jo hoga so hoga. Haan lekin Boss ko 16 May tak to neend nahi aayegi aur us din agar UPA ka oonth phir se sahi karwat baith gaya to phir to Boss ki neend agle paanch saalon tak haram ho jayegi.

Sunday, March 15, 2009

Gulal brings colours for hindi loving log




"Law padhne aaye ho, ja kar itihaas padho. Aur dekho aaj tak saala justice nahi hua hamare saath hua hai to sirf dhokha." Anurag Kashyap ki film Gulal ke lafz kam se kam ek baar sochne par majboor karte hain ki kya waqai jo Dukki Bana (KK Menon) kah rahe hai, sach hai.

Dekha jaye to poori film ka har ek dialouge desh ke kisi na kisi mudde ko sabhi ke samne lekar aane ki koshish karta hai, phir wo chahe Dukki Bana jaise rasookhdaar insaan ke muh se nikle ya phir us hi ke bade bhai (Piyush Mishra) ki kavitaon se darshakon tak pahunche.
Anurag Kashyap ne waqi is film ke liye bhale hi 8 saalon tak kaam kiya ho lekin, aakhirkar itne saalon ki mehnat ka rang film me saaf nazar aata hai.
Har ek actor aur uska character bahut hi soch samajh kar likha gaya hai aur utni hi behatreen tareeke se screen par laya gaya hai.
Haalaki film doosre half me kuchh lambi khinchti se dikhai deti hai lekin uske bawjood bhi ek film ke roop me Gulal uske dekhne walon ke dilon tab tak apni pakki jagah bana kar rakhegi jab tak ki Gulal jaisi hi koi film na aaye.
Film ka har ek charactor soch samajh kar likha gaya hai aur har ek baat se poori film ka tana bana buna gaya hai ki ek bhi dialouge miss karna dekhne wale ki apne aap se nainsafi hogi.
Aur agar koi ek cheez aisi poochhi jaaye jiske liye film ko alag se dekha ja sakta hai to wo hai Piyush Mishra, jo har ek kavita aur jo chhand Mishra ji ne is film ke liye likhe hain wo shayad aaj tak ka unka sabse achchha kaam hai.

Kul mila kar koi agar mere hisab se is film ko dekhne jaye to is film ko 4 stars se kam dena ek dum nainsafi hogi.