Thursday, August 16, 2007

Kayada

Aazadi ke 60 saalon ke poore hone ka khas mouka, har saal to subah un gaanon ko sunkar neend khula karti thi, jab chhota tha to bade savere hi is tyohar ke jashn ke liye saleeke se taiyyar hokar school ke liye nikal jaata tha raaste me aane wali har doosri manzil par tiranga laga hua dikhai deta tha aur kaano me to sirf aur sirf desh bhakti geet hi sunai padte the.

School se loutate waqt laddoo milte the aur ghar pahunch kar daadi ka banaya hua halwa aur chacha ki layi hui jalebiyan.

Lekin aaj sa kuchh badla hua sa shuru hua, na subah subah desh bhakti gaane, na koi bhashan, na parade, na koi mithai na hi koi badhai. Yeh theek subah ka haal tha lekin jaise jaise din beetane laga halat badalte chale gaye.

Shaam hote hote kal ki beshumar dimaagi aur jismaani mehnat rang layi aur desi khel ke rang me rangi 'Chak De India' dekhi to aisa laga ki aaj tak main bhi kitni badi galti karta aaya hoon. College me har baar apna intro dete waqt pradesh ka naam bataya. Kya zaroorat hua karti thi uski kya sirf naam bata dena hi kaafi nahi tha kisi professor se padh lene ke liye. Aur is hi baat ka ehsaas mujhe is film ne karwaya ki agar hum sirf apne pradesh ke liye kaam karenge to desh ka kya hoga.

Is film ke dialouges ne har lafz ka behatareen istamaal kiya hai lekin fir bhi main jo chahta tha aaj ke din wo nahi mila is film se. Shayad jo mujhe chahiye tha wo to kaheen aur hi mera intazaar kar raha tha ghar ke raaste me mera hi ek bhai jo ki masoomiyat ya kaam ki maar se raat ko Tiranga utarana bhool gaya tha maine apna farz nibhate hue use us kayde ke baare me bataya jo maine kareeb char saalon ki kadi mehnat ke baad seekhe hain. Aur shayad use seekhne ka mouka na mila aur khushi is baat ki hai ki 'Mehboob Bhai' ko bhi is par koi etaraaz nahi tha.

Ghar ja kar dekha to bharat pakistan ke moujooda haalat ko lekar bahas chhidi hui thi, loktantra-tanashahi, ye dono kisi desh ke vikaas par kis had tak asar daalte hain poll ke aankade saaf dikha rahe the. Poori bahas ke douraan ek hi baat baar baar saamne aa rahi thi ki loktantra hi kisi bhi desh ke liye sabse sahi raasta hai aage badhne ka lekin loktantra me kaanoon sabke liye ek samaan hone chahiye, kaayde aur kanoon is tarah ke tantra ke liye reed ki haddi hain. Phir wo chahe kayada Tirange ko andhera hone ke pahle utaar lene ka hi kyon na ho.

Aur aise mouke par ek hindustani hone ke naate apne hi bhai ko anjaane me us Tirange ka apmaan hone se bachane ke sivay main aur ko desh bhakti ka kaam nahi kar sakta tha.

1 comment:

Me Thinks.. said...

kya pata vo jhanda uske liye desh bhakti ki baat thi?