Monday, December 11, 2006

Wo jise main janata hoon..

Samne uske khade ho jane se ek khayal dil ko jhakjhor gaya. kya yeh wahi insaan hai jiske liye maine apni zindagi ke pahle pal se saans lee hai? Ya phir yeh wo hai jise maine aaj hi dekha hai. Aankhen to meri aankhon ki tarah hi hai. Jism par nazar dali to wahi ikahara badan haddiyon par chamde ka khol. Mathe par gusse aur pareshani ki kuchh lakeeren. Dil ki dhadkan bhi saff mahsoos ho rahi thi aur honthon par kuchh lafz aise jinhe tanhai me kahna usne lazmi na samajha. Uske chehre se meri poori zindagi bayan ho rahi thi aur main sirf khada hokar dekh raha tha. Uska naam, uska pata, koum, mulk mujhe nahi pata. Maine jab apne walid se poochha tho unhone kaha tha “Bachchhe ise Aaina kahte hain.”

5 comments:

Me Thinks.. said...

hehehe! too good! Sorry Bahut khub.. tum ek post full urdu mein kyu nahin likhte?

Cosmos said...

@ urdu ke mujhe sirf words aate hain script i dont now. And i am not good in urdu also.

mystupendoussalvation said...

hehehe acha bete pata lag gaya na tum assiliyat main kaise dikhte ho! hai na!! chalo phir kaam padko or kho jab tum hi aisi dikhte ho toh kissko or ko naam kyun rakhoge hain naa haha!!!
chalo nice post i must add!!

bhavna2716 said...

good! welcome in the humour club.

Cosmos said...

@ MS.. Ya thats why I changed my hairstyle.

@ NW.. Thankyou but i cant write on Lalu and Cow.