Saturday, December 09, 2006
Kisi ki baton me
Meri tanhai bhi itani kamzor thi
Main tujhe bhula na saka.
Ek lamha bhi tere sath bitaya hua
Muddaton bad bhi yadon se ja na saka.
Khwahishen jitni thee Arman jo the tere khatir
Unke ek royen ko bhi main pa na saka.
Kisi ki baton me ab wo Tabbasum nahi
Kisi ka thahaka bhi mujhe hansa na saka.
Khul kar kiye the jo wade maine tujhse
Wahi ek bat hai jo main nibha na saka.
Mousam-E-Ishq me jab pukara tha tune
Gam rahega ta-umr, waqt par main wahan ja na saka.
Tune diya hosla mujhe
Ahssas tera mere sath hai
Tu yahin to kahin aas pass hai.
Us waqt ko kya khoon jo bitaya tere sath
Us jagah ka kya kahna wo to jannat se bhi khass hai.
Zammane se bhi lad kar tham liya tune mujhe
Aaj bhi meri peshani par tera komal hath hai.
Zindagi na di tune magar jeena mujhe sikhla diya
Tune diya hosla mujhe tune diye jazbat hain.
Tujh bin main jaun kahan kisse milun
Tu hi to mera jahan tu meri kaynat hai.
Meri zindagi teri amanat rahegi hamesha
Khoon ka har ek katra MAA tera karzdar hai.

Friday, December 08, 2006
Tujhe khone ka khayal kafi hai rooh ki ravangi ke liye
Tere siva aur kya chahiye Mujhe deewangi ke liye.
Main duniya ke sare aansu le aaya hoon ankhen tar karne ko
Ab to tera hi dar aur tera hi shahar dikhta hai basar karne ko.
Log jo kaste the fikre kabhi tujh par
Tane mara karte hain wo ab mujh par.
Sans ka kya chalna aur kya dil ka dhadakna
Wo mera tujhe dekh kar bin sharab bahkna
Kiski thi bhool kiski khata yeh koun jane
Aise hi muhabbat kar baitha main tujhse anjane.
Rat ka chand bhi poochhata hai ab mujhse
Kya pyar kiya tha kabhi usne tujhse.
Tujhe mahsoos karta hoon main ab bhi
Un cheejo se jinhe chhua ta tune kabhi.
Pyar ka anjam waqi bahut bhala hai
Teri bheekh ki khatir koi intazar me aaj bhi khada hai

Subscribe to:
Posts (Atom)