The Indian Premier Leauge (IPL) jo ki pichale saal bahut si baaton jasie paisa badi hastiyan jaise Shahruk, Preity, Malya, Ambani, cheer leaders, videshi diggaj khiladiyon aur phir baad me Rajasthan Royals jaisi chhoti team ke pradarshan ke kaaran se mashhoor hua tha, aaj poore media me kisi aur hi baat ko lekar surkhiyon me hai.
Pahle to tareekh par tareekh, tareekh par tareekh (sounds like Sunny Deol) badalti gayi, aur is hi se tang aakar Rajasthan Cricket Academy ke chunav haar kar pahle se pareshan Lalit Modi ne apni bachi khuchi ijjat ko bachane ke liye saara ilzam sarkar ke sar par daalte hue sabhi tarah ke sitaron se lade is khel ko saat samandar paar le jaane ki baat keh dali.
Aur phir shuru hua asli khel: Lok Sabha chunav jiski garmi abhi tandoor jitni to nahi hui hai leking phir bhi tave par rotiyan sek paane ke kafi hai, usme sabse pahle apna dao maara BJP ke general secretary Arun Jaitley tam tamate hue kahne lage ki IPL ke bahar chale jaane se desh ka paryatan vyavsay prabhavit hoga. Unka kehna ye bhi tha ki jo desh sitara khiladiyon ki raksha nahi kar sakta wo aam paryatakon ki suraksha kaise karega, is hi binah par doosre deshon se log Bharat aana band kar denge. Aur unhone Wimbledon jaise kuchh international tournaments ki baat bhi kahi to aisa laga jaise Jaitley ji ko khel se kitna lagav hai, magar itna lagav hone ke baavjood bhi sirf ek saal baad Dilli me hone wale Commonwealth Games ke baare me baat karte kabhi dikhai nahi diye.
Lekin ek to Delhi Cricket Association ke president aur BJP ke GS hone ke naate Cricket ke paksh aur Sarkar ke vipaksh me to man mar kar bhi Jaitley sahab ko bolna padega. Par shayad ek baar Jaitley ji ne bolne se pahle ye to socha hota ki jo kuchh Lahore me Sri Lanka team ke saath hua khuda na khasta, Bharat me kisi doosre desh ke khiladi ke saath ho jaata to humare desh me cricket ke haalat Pakistan se bhi badtar ho jaate.
Phir saamne aaye Narendra ji Modi aur bol pade ki IPL ka desh ke baahar jaana 'National Shame' hai, lekin pahle ye na dekha unhone ki chunav ke doran Gujrat ko kitni para millitary ki battalion chahiye hogi. LoC par jo firing ho rahi hai desh ki sena sarhad samhalegi, chunav ke beech aantarik stithiyon se niptegi ya phir khiladiyon ki suraksha karegi?
Aur baat rahi IPL ke boss Modi ki to paise ke alaava is Modi ko kuchh aur dikhai nahi deta hai. Jab IPL-II schedule ka blueprint taiyaar kiya ja raha tha tab Boss ke dimaag me kuchh match England me rakhne ka khayaal aaya tha kyonki ek badi team Royal Challengers ke Mallya ka ek bada establishment England me moujood hai aur is team ke supporters bhi. Jab wo plan safal na hua to mouka milte hi Boss ne poora tournament shift karne ki baat kar daali.
Ek waqt aisa tha jab Boss kah rahe the ki unhe Bharat ki janta se bahut pyaar hai aur unhi ke liye ye tournament ho raha hai lekin bahar jaane ki baat karne se pahle Boss ke dimaag me ek baar bhi us pyari janta ka khayal na aaya.
Khair Indian Premeir League-2 aur India Political League-15 ka jo hoga so hoga. Haan lekin Boss ko 16 May tak to neend nahi aayegi aur us din agar UPA ka oonth phir se sahi karwat baith gaya to phir to Boss ki neend agle paanch saalon tak haram ho jayegi.