Desh ki sabse pratibhawan mahila tennis khiladi ka ye kahna ki wo apne desh me nahi khel sakti, to kisi desh aur us desh ke logon ke liye is baat se badi sharmnaak baat koi aur nahi ho sakti.
Jahan humara desh 100 karod se bhi zyaada ki aabadi hone ke baad bhi behatareen khiladiyo ke liye aise joojhta hai jaise ki Thar ke registan me koi hariyaali ko dekhne ke liye. Wahin Wimboldon jr. me desh ke liye pahla aur iklota khitab lane wali Sania Mirza ke peechhe jab uske hi desh ke logon ne fikre aur fatwe zaari karne shuru kar diye hon to apne desh me na khelne ka uska faisla 100 feesadi lazami hi hai.
Ye mudda bhi un saare muddon me shamil ho jata hai jo Cricket aur doosare khelon ke beech me sage-sotele salook ko phir se humari nazaron ke theek samane lakar khada kar dete hain.
Sydney me humare desh ki Cricket team ke ek khiladi ki galati hone ke bawazood bhi poora desh uske saath khada hua paya gaya. Agar Australia me hue Harbhajan mamle par gour farmaya jaye to jo lafz Bhajji ne istemaal kiye the unka agar theek tarah se matlab sunwai ke judge John
Hansen samajh pate to shayad saza me koi kotahi nahi barti jaati.
Wahin par BCCCI ke ala adhikari bhi bhale hi News Camera ke saamne nahi par Camera ke peechhe to ye kabool karte hain ki galti humare ladke ki bhi thi.
Saniya ke Bangalore Open me na khelne ke faisle do hi din pahle jab desh ke honhar Boxer Akhil Kumar ne Olympic ke liye qualify kiya aur doosre hi din Olympic ke chandi ke tamge par haq rakhne wale Worapoj Petchkoom ko apne mukkon se chit kiya to usne ye na socha hoga ki uske mukke Hindustani media ke foulad ke saamne kajor pad jayenge. Desh ko koi bhi bada akhbaar Akhil Ko Cricket ke saamne itna bhi nahi maan paya ki uski ek chhoti si tasweer hi chhapi ja sake.
Kul milakar baat aaj bhi wahin par aa kar ruk jaati hai ki kya Cricket ko shahzada bana kar kya hum doosre khelon ko fakeeri me nahi rakh rahe. Kyonki baat sirf paisa ya suvidhaen muhaiya karwane par hi khatam nahi ho jati hai. Khel ko humesha insaan khela karte hain aur insaan ko agar apnon ka saath mile to Everest ko paar karne ka kaam bhi palken zapkane se zyada bada nahi lagta.
Chahe wo Sania ho ya Akhil Kumar ya phir Desh walon ke pyar ko tarasti Hockey team, agar hum inhe shahzade nahi bana sakte to koi baat nahi lekin wo saath to de hi sakte hain jiski ek desh wasi apne hum watan se umeed karta hai.