Wednesday, October 15, 2008

Kuchh aur...

Apne kapdon me hi jism kisi aur ka lagta hai
Yahaan par har shakhs kuchh aur sa lagta hai

Kisi ke muhalle jagmag hain chiragon se
Kuchh logon ke ghar me bas alav sulagta hai

Wo sooni si sadken, biyabaan se jangal
Har dil me leking koi khyal tahalta hai

Pahchaan har ek ki alag alag hoti hai
Dhoondhe se lekin ek nishaan sa milta hai

Toote tamanna ya umeedon ka katl ho
Har ek tukde me phir bhi ek khwab to palta hai

Thursday, September 04, 2008

Fasla

Jab saath tu hai to kya phir kami hai
Magar ye duniya kahan ab sagi hai

Tere har safar me kahan tak chale the
Ab chand kadmon me jaan thak chuki hai

Jo baaten lagi thi humko milane
Baaten wahi to zahar ban chuki hain

Peechhe palat ke jab dekha kiya main
Meri har nishani ki boli lagi hai

Na kufr hai ye tera, na meri thi galti
Har ek rishte ki nabz kabhi to ruki hai

Monday, February 04, 2008

Khel aur desh ka Khel

Desh ki sabse pratibhawan mahila tennis khiladi ka ye kahna ki wo apne desh me nahi khel sakti, to kisi desh aur us desh ke logon ke liye is baat se badi sharmnaak baat koi aur nahi ho sakti.

Jahan humara desh 100 karod se bhi zyaada ki aabadi hone ke baad bhi behatareen khiladiyo ke liye aise joojhta hai jaise ki Thar ke registan me koi hariyaali ko dekhne ke liye. Wahin Wimboldon jr. me desh ke liye pahla aur iklota khitab lane wali Sania Mirza ke peechhe jab uske hi desh ke logon ne fikre aur fatwe zaari karne shuru kar diye hon to apne desh me na khelne ka uska faisla 100 feesadi lazami hi hai.

Ye mudda bhi un saare muddon me shamil ho jata hai jo Cricket aur doosare khelon ke beech me sage-sotele salook ko phir se humari nazaron ke theek samane lakar khada kar dete hain.

Sydney me humare desh ki Cricket team ke ek khiladi ki galati hone ke bawazood bhi poora desh uske saath khada hua paya gaya. Agar Australia me hue Harbhajan mamle par gour farmaya jaye to jo lafz Bhajji ne istemaal kiye the unka agar theek tarah se matlab sunwai ke judge John
Hansen samajh pate to shayad saza me koi kotahi nahi barti jaati.
Wahin par BCCCI ke ala adhikari bhi bhale hi News Camera ke saamne nahi par Camera ke peechhe to ye kabool karte hain ki galti humare ladke ki bhi thi.

Saniya ke Bangalore Open me na khelne ke faisle do hi din pahle jab desh ke honhar Boxer Akhil Kumar ne Olympic ke liye qualify kiya aur doosre hi din Olympic ke chandi ke tamge par haq rakhne wale Worapoj Petchkoom ko apne mukkon se chit kiya to usne ye na socha hoga ki uske mukke Hindustani media ke foulad ke saamne kajor pad jayenge. Desh ko koi bhi bada akhbaar Akhil Ko Cricket ke saamne itna bhi nahi maan paya ki uski ek chhoti si tasweer hi chhapi ja sake.

Kul milakar baat aaj bhi wahin par aa kar ruk jaati hai ki kya Cricket ko shahzada bana kar kya hum doosre khelon ko fakeeri me nahi rakh rahe. Kyonki baat sirf paisa ya suvidhaen muhaiya karwane par hi khatam nahi ho jati hai. Khel ko humesha insaan khela karte hain aur insaan ko agar apnon ka saath mile to Everest ko paar karne ka kaam bhi palken zapkane se zyada bada nahi lagta.

Chahe wo Sania ho ya Akhil Kumar ya phir Desh walon ke pyar ko tarasti Hockey team, agar hum inhe shahzade nahi bana sakte to koi baat nahi lekin wo saath to de hi sakte hain jiski ek desh wasi apne hum watan se umeed karta hai.

Saturday, January 26, 2008

Zulmon ki had

Zulmon ki had tod firangi
Desh prem na hoga kam

Aag agar na ho seene me
Pal bhar me sulga te hum

Mushkil ki ghan ghor gadi me
Sahas ka parcham lahrate hum

Dost ki Zappi, dusman ka khanzar
Seene par hi khate hum

Dukhon se jhakjhor de koi
Fir bhi har pal muskate hum

Zulmon ki had tod firangi
Desh prem na hoga kam