Thursday, May 24, 2007

Faisla..



Khuda ke darwaze par dili sukoon aur chain ki talaash me aate hue har ek banda apne peeche ghar par shayad apne masoom bachche, boodhe waalid aur intazaar karti biwi ko chhod kar aata hai. Lekin ghar par baitha har shakhs ab kis tarah ooper wale par bharosa rakhe jab yeh saabit hone laga hai ki “khuda ke ghar jaane wale kabhie lout kar nahi aate.”
Khuda, Bhagwaan, God aur bhi kai tareekon se pukare jaane wale is ‘bharose’ par se logon ka bharosa uthane wale aaj wahi log hain jo har kaam ko karne ke pahle iska naam lete hain. Baat ho chahe Bathinda ho ya Hydarabad har jagah Ishawar ke naam par hi fasaad hai. Kyonki dahshatgardon ko khuda aur bhagwaan se koi matlab nahi hai. Unka man jis cheez ko dekhkar khincha chala aata hai wo hai insaani khoon aur bus us hi ko bahane par aamada log apni aankhon ko moond kar shaitaniyat ko anjaam dete hain.
Guru Govind Singh ke apmaan ke khilaaf nangi talwaren lekar sadkon ko khoufnaak banana aur dukanon ko khandharon me tabdeel karne walon ko shayad ye bhi guman nahi ki Govind sahib ki mahanta itni badi hai ki unke kapdon jaise kapdon ko pahan lene se unke naam aur taleem par katara bhar bhi fark nahi padega.
Lekin unke naam par khoon kharabe se Guru ki taleem jo ‘Kripaan’ ko aakhiri raasta batati hai, uski zaroor be-ijaati ho rahi hai. Aur yahee saari baaten chhup chhup kar mandiron aur masjidon me dhamake karne wale un logon ke liye hain jo apne aap ko JIHADI kaha karte hain. Unhe bhi ek baar jaakar phir se Kuran ke pannon ko palat kar dekhana chahiye ki Islaam Jihad aur aman ke bare me kya kahta hai.
Har mazhab apni kitaabon me sirf aman hi ke paigaam lekar zinda hai. Agar aman ko in kitaabon se nikaal diya jaaye to shayad unme kuchh nahi rah jayega. Ab faisla un logon ko karna hai ki mazhab ko waqai wo zinda rakhna chahte hain ya apni nangi talwaron se aur dhamako me bahte lahoo me bastiyon ki naaliyon me baha dena chahte hain.

Tuesday, May 22, 2007

Haqeekat


Duniya, duniyadari, rishtey, jazbat, achchhai, burai in sabhi ke baare me bahut kuchh sunne aur janne ke baad bhi aaj tak ek sawal dil ke kone me aur zahan me har jagah achanak se ghoom jata hai. Bahut se logon se alag alag tareekon se poochhne ke baad bhi jawab har baar lagbhag ek sa hi raha. Shayad duniya ke dekhane ka tareeka alag aur samajhne ka tareeka alag hota hai kyonki kisi rishte ka hona bhi alag hota hai aur use samajh lena bilkul hi alag.
Agar duniya me kisi se bhi poochha jaye ki kisi "Maa" ka beta hone ke liya kya chahiye to ek zaahir sa jawab milega ki uske liye aapko uske jism ka hissa hona chahiye yani ki us aurat ki hi paidaish. Waqai apne jism me ek aur jism ko palna kisi "shakti" ke hi bas ki baat hai. Lekin apni kokh me palna hi kya Maa jaise bade samman ko pa lene ke liye kafi hai? Kyonki duniya me aana aur duniya me rahna do alag alag batein hain. Aur mere hisaab se duniya me rahna jo sikhlaye wahi Maa hai aur duniya ke jazbaat bhi kuchh aisa hi kahte hain.
Dharm ki baat ho ya media ki, har jagah Maa ne apni mahanta ko bina kisi takalluf ke barkarar rakha hai. Krishna aur yashoda, Paigambar hussain aur unki ammi ki baatein dharm me aaj bhi jee rahi hain. Wahin kisi bachche ko janam na dene ke baad bhi use apna hi maan kar duniyadaari sikhane waali Maaon ne Media me bhi darshakon ke dilon par raaz kiya hai. Bachchon ki pahli pasand "Jungle Book" me mogali ki maa chameli, Big 'B' ki hit film Ajooba me Dolphin ya phir haal hi me TV par dikhaye ja rahe Big Babool ke ishtahaar me chidia aur kachhue ki kahani, sabhi ke sabhi dekhne walon ke dil ko barbas hi gher lete hain.
Saari baaton ko ek saath dekha jaye to bhi mujhe samajh nahi aata hi kya samjhoon aur kya nahi. Shayad duniya me kisi bhi Maa ke liye teeno lokon me kisi ke pass bhi koi paribhasha na hogi.
Ek aise bachche ko duniya ka lag-bhag sab kuchh dena jise aapne janam na diya ho. Apne bachchon ke saath use bhi palna, uski pareshani ke pahle hi hal ke liye jut jaana, uske pet ko bharne ke liye khud ke nivale dena aur use bistar par sula kar khud zameen par sona, aise kaam kisi devta ke bhi bas me na rahe honge. Saari duniya me ghoomun ya poori zindagi khatm kar doon lekin ye paheli hamesha paheli hi bani rahegi.
Har din ek naya roop, har baar naye jazbaat lekin pyaar ki barsaat me hamesha izaafa hi hota chala jaata hai aur mere jaise bewkoof paribhashayen hi dhoondhte rahte hain. Jabki sach to yeh hai ki duniya ka sabse chota lafz hi aisa hai ki hazaron granthon aur mahakavyon ko likh dene ke baad bhi iska poora bakhan koi nahi kar payega.
Kyon ki Maa to sirf Maa me hi poori dikhai deti hai.