Imtahaan zindagi ka dene me kya harz hai.
Uske gussaile waron ko sahna bhi to ek farz hai.
Aadami ke zakhmon ka marham kahan dhondhoge.
Yahaan to tan ke rom rom me marz hai.
Aana na aana hai faisla ek tarfa unka.
Jahan bhi jaun har aangan me dard hai.
Saare jahan ke nazaare hai bhikhre hue.
Gulista-E-Bahaar bhi ab dikhta zard hai.
Kahaani meri ho ya ho kisi dushman ki.
Jazbaaton ke bina to garm khoon bhi sard hai.
4 comments:
how da hell do u manage to write like dat??? bloddy hell...i can only wish and wish i cud write like dat...cheers re...
tumhare andar kyun itna dard hai??
last line is damn cool, like always...
aadhi urdu to mein yehi se seekh loongi...
@Reema.. Nice way of appriciation but you can also write like that. Ek jaam tu bhi chakh le Shayri khud-b-khud aa jayegi. Cheeeers.
@MT..Urdu tum nahi seekh sakti yahan se kyonki mujhe bhi nahi aati.
na jane kyon zindgi aaj
har bazar me badnaam hai
kyon uski rahmte aaj gumnaam hai
diye the dard or hansi baraabar baraabar usne
par aaj na jane kyon hansi
beaabru or dard ek inaam hai
Post a Comment