Aap ke saath me maine pata nahi kitne din bitaye honge, Bachpan me shayad aap hi ke haathon par sar rakh kar mujhe neend ke jhonke aate the. Ghar ke peechhe ke bagiche me aap hi ke saath mitti me main kaam kiya karta tha.
Lekin waqt ne mujhe bada karna shuru kar diya aur aap ke aur mere beech ki dooriyon ko bhi. Jahan main school se aate waqt aapke office me aakar aapke saath jaane ke liye ghanton aapke lunch time ka intazaar kiya karta tha waheen kuchh lamhe aise bhi aaye jab hum dono ne ek hi chhat ke neeche rahte hue bhi kai dino tak bhi ek doosare ki shakl bhi nahi dekhi. Mujhe pata hai ki ye sabhi aapke aur mere pass rahi waqt ki kamee aur badhti jimmedariyon ke karan hua tha lekin baat mere dil ko dukhane ke liye kafi thi aur shayad aapke bhi.
Aapka mujh par bharosa duniya me kisike bhi bade se bade bharose ko bhi maat dene ki kabiliyat rakhta hai. Mujhe pata hai ki ye kabhi aapne yeh mere saamne nahi kaha lekin yaad rakhiyega ki mere bhi mukhbir aapke aas paas hi rahte hain.
Jab hum dono raat bhar baith kar bank audit karte the aur aap subah jaldi uth kar kaam shuru kar dete the to main doosre din aapse pahle uthane ki taiyyari kar ke rakhta tha lekin aisa ho nahi sakta hai J aur phir Maa chillati thi, “In dono baap bete ko computer aur accounts dedo duniya ko bhool jaye, are khana to khalo thanda ho raha hai” aur hum dono hanste the :).
Pahle jab hum aam aur sabzi lene jaate the to aap drive karte the aur main baithta tha lekin ab aap baithte hain aur main drive karta hoon. Lekin kya hume badalne ke liye ye hi saari baate kafi hain?
Kal jab aapko maine dekha aur aapne mujhe dekhne ke baad phir se wo Bhartnatyam dekhna shuru kiya to mujhe aisa laga ki meri sabse anmol cheez mujhse us dancer ne chheen li ho lekin aisa kabhi ho nahi sakta. Kyonki main aapka dayan haath hoon aur hum dono ko koi alag nahi kar sakta.
Humare wo empire aur institute wale plan bhooliyega nahi main wapas aane ke baad aapka 50% ka partner banne wala hoon.
Mujhe pata hai ki aap kabhi ye padhenge nahi kyon ki aapko to mail kholne ke liye bhi meri zaroorat padti hai aur main aapse ye sab kabhi kah nahi sakoonga lekin ye hum dono jaante hain ki kal ka din hum dono ke liye kya tha.
Pata nahi wo jagah ka jaadoo tha ya phir din ka lekin kuchh bhi ho aapka jaadoo mere din ko yaadgar banane ke liye kafi tha. Aur aap aise pahle hain is duniya me jisne kal ke din bete ko gift diya ho.
Happy Fathers Day Mamaji.