Chand bhi hai Khafa..
Jaate jaate main tumhe ye kah na sakaMeri duniya me tere bina hai kya rakha.
Tamanna karoon kuchh pane ki kya kabhiGharondon ko tak main bacha na saka.
Umeedon ko poora karna bus me nahi abZindagi se khud rahta hoon thaka-thaka.
Sitare chale gaye gardish me sareChand bhi aaj kal hai mujhse khafa.
Halat ban gaye matam ke gulashan meSaanse hone lagi hain jism se dafa.
Aawaz bhi jati nahi tujh tak ab to Parde me ja chhupe hain wade aur wafa.
2 comments:
halat ban gaye matam ke gulshan mein
saanse hone lagi hai jism se dafa..
ab tu mujhe itna bata, tu ye sab likhta kaise hai?
vo bhi itni jaldi?
beautiful lines..
Aawaz bhi jati nahi tujh tak ab to
fantastic line waise itna bura to aap likte nahi hai ki tarif karni pade.
Halat ban gaye matam ke gulashan me
thodi confusing hai but nicely written !! keep bloging
Post a Comment