Thursday, August 15, 2013

Apna Bana Sakte The

Tere jis pyar ko dil me basa sakte the
Ye duniya us hi pe aaj fikre kasa karti hai
Duniya ki parwah to humne ki bhi na hoti
Magar... Tum bhi to kabhi hume apna bana sakte the

Jis naam ko darte rahe tum saath lagane se
Chhupate rahe har baat sare-aam zamane se
Us hi jazbaat ke khatir hum kya-kya na jala sakte the
Tum bhi to kabhi hume apna bana sakte the

Chalo badnaami ka waham hai wajib
Hum bhi nahi karte kisi ilzam ko kharij
Ishq hai tumhe bhi kano.n me bata sakte the
Aah.. Tum bhi to kabhi hume apna bana sakte the

Ek tees to humare dil me hi uthegi hamesha
Karti rahegi ek baat hamesha hi pareshaan
Tere chaak-e-dil pe hum jaan luta sakte the
Magar ek baar... Tum bhi to kabhi hume apna bana sakte the....

Friday, June 28, 2013

Meri Wo Chidiya...


मेरे  आँगन की वो चिड़िया जो खुल के चहचहाती थी
आज-कल कुछ गुमसुम, सहमी सी रहती है

अपने हि मीठे बोलों को सवालों सा तकती है
हर भोर के साथ अतीत मे भटकती है

दुनिया के रिवाज़ों से कुफ्र सी नज़र आती है
ख्वाहिशों के खँडहर से कुछ तिनके चुनती है

जो कभी खुले आसमां मे लगाती थी गोते
दर्द के दरिया मे डूबती दिखती है

मस्त-मौला, बकलोल मेरी वो चिड़िया
भावनाओं के बवंडर से लडती है

कुछ रोती है, कुछ बिलखती है
अपने अरमानों को तजती है
सवालों के समंदर से निकलती है

जज्बातों के पिंजरे को तोड़ कर
सिर्फ, इंसानों से मिलने से बचती है

Monday, September 17, 2012

Raat Ki Baat

Ye raat apne syaahpan me, kya kya nahi le jaati hai
Chand sapno ko dikhakar, karwate de jati hai
Note ki gaddi batakar, sikkon ko chheen jaati hai
Is raat me bikte hain imaan bhi yahaan dastoor bhi
Vardiyon me baith kar ye jism tak kha jaati hai
Ye raat apne syaahpan me kya kya nahi le jati hai

Le jaati hai ye dosti ko dushmano ki fouj me
Zindagi ko sulaati mout ki aagosh me
Bin baat ke pahre kai ye leke bhi aa jaati hai
Aur chulhe ki hi aag se ghar tak jala ke jaati hai
Chand sapno ko dikhakar, karwate de jati hai
Ye raat apne syaahpan me, kya kya nahi le jaati hai

Mazhabon ke naam par insaaniyat ki laash hai
Chappe chappe me wahaan barbadiyon ki baat hai
Ye raat apne hi nashe me jab dhutt si ho jaati hai
To kya aman aur kya sukoon ye sabka khoon pi jaati hai
Ye raat apne syaahpan me, kya kya nahi le jaati hai
Chand sapno ko dikhakar, karwate de jati hai

Thursday, September 13, 2012

Ye Duniya

Duniya hai kaisi, ye kaisi hai duniya
Dhuaan aur andhere bhari hai ye duniya
Kabhi nochti, kabhi sochti, kabhi lootati to kabhi bolti...
Girati, uthati, jagati, sulati...
Kisi roz sabki hawayen udati...
Tumhari ye duniya, humari ye duniya
Badi khudgarz aur matlabi hai ye duniya.

Charagon ke badle deti hai angaare
Tod deti hai jo bhi sapne sanwaare
Aandhi si aati, toofanon si jaati
Jhakjhor deti sabhi ko ye duniya
Duniya hai kaisi, ye kaisi hai duniya
Badi khudgarz aur matlabi hai ye duniya.

Matlab ke matlab se lab hain lab-aa-lab
Mouke ko talashe hain ab yahaan sab
Tere sar pe kiski topi rakhi hai
Topi me teri, kiska hai rakha sar
Yahi sab to baaten jhel jaati hai duniya
Tumhari ye duniya, humari ye duniya
Badi khudgarz aur matlabi hai ye duniya
Duniya hai kaisi, ye kaisi hai duniya....

Sunday, October 04, 2009

Kaka ki dukan

Sunne walon ko yakeen to nahi hota hai lekin kuchh bhi ho sach to sach hi hai. Hamara desh hai itna bada, itne saare log hain, itane saare raajy, un raajyon men jile, tahasiil, aur n jaane kitane kolej hain. lekin itanaa sab kuchh alag alag hone ke baavajood bhii yek aisi cheej hai jo mere aur mere jaise logon ki jindagi men bahut hi milati julati hai aur vo hai kaakaa ki chay ki dukaan.
Ye ek aisi jagah hai jo Jammu aur Kashmir se Tamil Nadu tak alag alag naam se jaani jaati ho jaise Dilli ke JNU (Jawaharlal Nehru University) ke log Ganga Dhaba kahte ho, mere college ke log Kaka ki dukan to Maharashtra me chai chi tapri, lekin kaam aur din bhar me hone wale kriya kalapon me ko zyaada antar dekhne ko nahi milta.
Kaka aur unki dukaan ki bahut saari khoobiya hain, Kaka chalata to chai ki dukan hai lekin asal tour par dekha jaye to bahut bada financer hai. College ke har ladke ka inke yahaan par kahata chalta hai aur chai aur cigarrette me hi hazaaron rupyon ka udhar Kaka ne in sabhi khaate walon ko de rakha hai. Har maheene rakam badhti jaati hai aur jab bhi paani sar par aa jaata hai to aadha ya chouthai hisab karke log apni credit limit badhva lete hain.
College se class gol karne wale apne time pass ka saman Kaka ke locker me hi rakhte hain, locker me zyaada kuchh nahi hota, do bat, teen stumps aur ek Cosco ki tennis ball. In sabhi ke alava Kaka ke locker me kuchh baseball aur hockey palyers bhi apni kit rakhte hain lekin ye wo players hote hain jinhone baseball ya hockey aaj tak nahi khela lekin apni 'boxing' aur 'wrestiling' ke liye kisi Olympic gold medalist se bhi zyaada mashhoor hote hain.
Chay ki ye chhoti si dukan ko chhota samajhne ki galti kabhi na keejiyega, ye dukan 10 Janpath, ya 11 Ashoka Road se kam nahi hai, college election ka har chhote se bada decision is dukan me hi hota hai.
Sahi tour par dekha jaye to kaka ki ye dukan wo karti hai jo aaj tak is duniya me mandir, masjid, gurudvare aur church na kar sake. In sabne jahaan sabhi logon ko milane ki jagah alag alag kiya waheen ek chhoti si dukan me log apna dharm aur jaati se kaheen oopar aakar ek saath baithte hain.
Desh ko disha dene wale hamare safedposh neta jinhe desh ki yuva peedhi ko ekta ki raah dikhni thi wo chhatrsangathano ke naam par desh ki takat ko todne par tule hai, par Kaka ki dukan me ye takat kuchh had tak judti hui dikhai deti hai. Kaash aisi hi ek chay ki dukaan humari Lok Sabha me bhi ho, aur shayad alagavvad aur is alagavvad ki rajneeti se is desh ko mukti mil sake.

Sunday, July 26, 2009

Dus saal: Kuch door, kuchh pass

Mujhe kuchh dino pahle tak bhi nahi pata tha ki Kargil Vijay Diwas ko kab manaya jaata hai aur sach bataun to aaj bhi mujhe pakka yakeen nahi ho raha tha ki Kargil ki jeet hamne dus saal pahle hasil ki thi. Aisa lagta hai ki kuchh hi dino pahle ki hi to baat hai jab hum seena taan kar Tiger Hills aur Tololing par Tiranga lahrane ki baat karte the.
Aaj ke din bahut se logon bahut si baaten ki, aur shayad main bhi kuchh aisa hi likhne ke mood se baitha tha. Lekin jab beete hue saalon par ek nazar dali to aisa laga ki jaise bahut kuchh badal gaya hai lekin phir bhi kuchh baate purani ho chuki hain ye yakeen nahi hota.
Kargil ki ladai me Pakistani fouj ki naak me dum karne wali Bofors toup jo ki 1999 ki is ladai ke baad har media channel ne TV screen par dikhai, waheen Bofors deal me sabse zyaada kamai karne wale Quatrochi ko humari sarkar ne clean chit de di.
Ek bahut hi badi khushi ki baat hui aaj tak jo Congress party apne aapko Kargil se jude har mudde se door rakhti thi aur BJP ko Kargil ke naam par kosa karti thi, wahi party aaj Kargil Vijay Diwas par poori tarah se shareek dikhai di aur Manmohan Singh ji ne humare shaheedo ke balidan ke badle me is desh ko bulandiyon par le jaane ki baat ki.
Lekin in dus saalon me hum log un netaon ko bhi kuchh nahi bigad paye jinhone ghinonepan ki had karte hue humare veer jawanon ke tabooton tak ko khane ki harkat ki thi.
Lekin jab kuchh na badlne ka yaad aaya to TV par Kargil aur Drass sector ki wo chotiyaan dekh kar mujhe wo din yaad gaye jab 1999 me Kargil ki jeet ke theek baad humare school me Kargil file ko lekar sab ek saat ek mission me jut gaye the.
Mission ke commander ke tour par Ganpat Singh Kunwar (Singh Sir) chune gaye. Singh sir, NCC ke pahle trainer rah chuke the aur waise bhi deel dol se koi bhi unko fauj ya me police ka retired officer samjhane ki bhool kar sakta tha.
Har claas ko apni ek alag file taiyyar karni thi jo ki class wise competition me jaati, aur jo log individual competition me jaana chahte the wo apni file personally submit karne wale the.
Kul mila kar goal ye tha ki students zyaada se zyaada samajh sake poori ladai ke baare me aur un logon ke baare me jinki wajah se saara desh aaj chain ki neend se sota hai aur sukoon se apna kaam karta hai.
Shuruati tour par hamesha ki tarah mujhe pata nahi tha ki kya ho raha hai, lekin jab thoda dhyan lagaya to pata chala ki karna kya hai. Dimag thoda dheere chalta hai is liye individual competition me jaane ka to khayal aana bhi paap hai lekin phir bhi Class wise compitetion me to battle field open tha. Wo bhi isliye ki Class XI thi sabhi log naye the aur wo bhi session ka pehla maheena tha to hamesha ki tarah mujhe is baar phir se ladkiyon ko impress karne ka ek naya mouka mil gaya.
Do ya teen dino me naam likhne shuru ho gaye aur files aur rules bhi fix ho gaye the. Class wise competition ke liye file me 50 pages the aur individual me 30 pages jinhe pictures, drawing, painting, poem, articles aur paper cutings se complete karna tha.
Kaam shuru hone ke shuruati do ek din to aise hi chale gaye lekin dheere dheere main is file me kuchh zyaada hi gahra utarta gaya.
India Today, Outlook, Nayi Duniya, Dainik Bhaskar aur na jane koun koun se news papers aur magazines ka intazaam karne lage hum log. Naye naye naare jaise "Dhoodh maango to kheer denge, Kashmir maangoge to cheer denge" kai saare hum ne jama kare. Pata nahi wo josh kahaan se tha shayad is hi liye Singh Sir ko chuna gaya tha.
Class file par karte karte mera ek naya dost, Jaydeep, kuchh alag sa karta nazar aaya, jab maine poocha to pata chala ki uski individual file hai jo abhi tak aise hi rakhi hai aur usne kuchh bhi nahi kiya hai. Seedhe tour par mere paas ek aur file aa gayi thi jis par mujhe kaam karna tha.
Is hi beech kaam karte karte mere dimaag me kuchh photos ghar karte ja rahe the jo aaj bhi meri aankhon ke saamne utne hi saaf hain jitne ki un dino me the.
Jaise ki Major Vivek Gupta ki patni Capt Jayshree Bisht ka apne pati ko aakhir salute karna, Vikram Batra aur unke bhai ka apni maan ke saath ka picture aise bahut se scene the jo dimaag ki hard disk me feed hote ja rahe the.
Uske thode din baad Dada (my elder brother) ko ghar par file par kaam karte dekha, ek aur file par kaam karne ka mouka mil gaya.
Is tarah se maine kul milakar lagbhag 12 se 13 files par kaam kiya.
Final results ke time par humari class ko first aur Dada ki class ko second place mila, individual file me bhi us ek file ko first place mila jis par maine kaam kiya tha.
Maine apni file nahi banai lekin sahi mano to mujhe kaam karne me wo sukoon mila jo shayad khud ki file banane me na milta, un logon ko jaanne ka mouka main kho deta, shayad mere dimaag ki hard disk khali rah jaati.
Singh sir aaj un logon ke saath hain jo Kargil me humare desh ko bachane me shaheed hue the. Aur shayad wo bhi unhe ye hi dus saal purani kahaani suna rahe ho.
Thank you sir to give me an opportunity to get to know our true heros
Thank you to everyone who trusted me to work on their files
And thank you to all of you in the uniform to save us and for making us feel proud of our nation.

Friday, April 17, 2009

Chalti ka naam zindagi ya gaadi...

Gaadi aur zindagi ka safar hai bahut hi khaas
Chalte dono hain, subah-o-shaam, din aur raat.

Darje bhi dono ke hain ek hi jaise
Zyaada daam me milta aaram to kam me milti hai khaak.

Padav bhi hote hain alag alag dono ke
Kuchh lagte hain ek se, kuchh me hoti hai ek alag si baat.

Musafir aate jaate kai hain dono me
Koi kuchh door tak to koi deta hai aakhiri tak saath.

Manzilen hoti hai har ek ki juda jaane ke baad
Kisi ki yaad aati hai tumhe to koi karta tumhe hai yaad.

Monday, March 23, 2009

The Indian Political League



The Indian Premier Leauge (IPL) jo ki pichale saal bahut si baaton jasie paisa badi hastiyan jaise Shahruk, Preity, Malya, Ambani, cheer leaders, videshi diggaj khiladiyon aur phir baad me Rajasthan Royals jaisi chhoti team ke pradarshan ke kaaran se mashhoor hua tha, aaj poore media me kisi aur hi baat ko lekar surkhiyon me hai.

Pahle to tareekh par tareekh, tareekh par tareekh (sounds like Sunny Deol) badalti gayi, aur is hi se tang aakar Rajasthan Cricket Academy ke chunav haar kar pahle se pareshan Lalit Modi ne apni bachi khuchi ijjat ko bachane ke liye saara ilzam sarkar ke sar par daalte hue sabhi tarah ke sitaron se lade is khel ko saat samandar paar le jaane ki baat keh dali.

Aur phir shuru hua asli khel: Lok Sabha chunav jiski garmi abhi tandoor jitni to nahi hui hai leking phir bhi tave par rotiyan sek paane ke kafi hai, usme sabse pahle apna dao maara BJP ke general secretary Arun Jaitley tam tamate hue kahne lage ki IPL ke bahar chale jaane se desh ka paryatan vyavsay prabhavit hoga. Unka kehna ye bhi tha ki jo desh sitara khiladiyon ki raksha nahi kar sakta wo aam paryatakon ki suraksha kaise karega, is hi binah par doosre deshon se log Bharat aana band kar denge. Aur unhone Wimbledon jaise kuchh international tournaments ki baat bhi kahi to aisa laga jaise Jaitley ji ko khel se kitna lagav hai, magar itna lagav hone ke baavjood bhi sirf ek saal baad Dilli me hone wale Commonwealth Games ke baare me baat karte kabhi dikhai nahi diye.
Lekin ek to Delhi Cricket Association ke president aur BJP ke GS hone ke naate Cricket ke paksh aur Sarkar ke vipaksh me to man mar kar bhi Jaitley sahab ko bolna padega. Par shayad ek baar Jaitley ji ne bolne se pahle ye to socha hota ki jo kuchh Lahore me Sri Lanka team ke saath hua khuda na khasta, Bharat me kisi doosre desh ke khiladi ke saath ho jaata to humare desh me cricket ke haalat Pakistan se bhi badtar ho jaate.


Phir saamne aaye Narendra ji Modi aur bol pade ki IPL ka desh ke baahar jaana 'National Shame' hai, lekin pahle ye na dekha unhone ki chunav ke doran Gujrat ko kitni para millitary ki battalion chahiye hogi. LoC par jo firing ho rahi hai desh ki sena sarhad samhalegi, chunav ke beech aantarik stithiyon se niptegi ya phir khiladiyon ki suraksha karegi?


Aur baat rahi IPL ke boss Modi ki to paise ke alaava is Modi ko kuchh aur dikhai nahi deta hai. Jab IPL-II schedule ka blueprint taiyaar kiya ja raha tha tab Boss ke dimaag me kuchh match England me rakhne ka khayaal aaya tha kyonki ek badi team Royal Challengers ke Mallya ka ek bada establishment England me moujood hai aur is team ke supporters bhi. Jab wo plan safal na hua to mouka milte hi Boss ne poora tournament shift karne ki baat kar daali.

Ek waqt aisa tha jab Boss kah rahe the ki unhe Bharat ki janta se bahut pyaar hai aur unhi ke liye ye tournament ho raha hai lekin bahar jaane ki baat karne se pahle Boss ke dimaag me ek baar bhi us pyari janta ka khayal na aaya.

Khair Indian Premeir League-2 aur India Political League-15 ka jo hoga so hoga. Haan lekin Boss ko 16 May tak to neend nahi aayegi aur us din agar UPA ka oonth phir se sahi karwat baith gaya to phir to Boss ki neend agle paanch saalon tak haram ho jayegi.

Sunday, March 15, 2009

Gulal brings colours for hindi loving log




"Law padhne aaye ho, ja kar itihaas padho. Aur dekho aaj tak saala justice nahi hua hamare saath hua hai to sirf dhokha." Anurag Kashyap ki film Gulal ke lafz kam se kam ek baar sochne par majboor karte hain ki kya waqai jo Dukki Bana (KK Menon) kah rahe hai, sach hai.

Dekha jaye to poori film ka har ek dialouge desh ke kisi na kisi mudde ko sabhi ke samne lekar aane ki koshish karta hai, phir wo chahe Dukki Bana jaise rasookhdaar insaan ke muh se nikle ya phir us hi ke bade bhai (Piyush Mishra) ki kavitaon se darshakon tak pahunche.
Anurag Kashyap ne waqi is film ke liye bhale hi 8 saalon tak kaam kiya ho lekin, aakhirkar itne saalon ki mehnat ka rang film me saaf nazar aata hai.
Har ek actor aur uska character bahut hi soch samajh kar likha gaya hai aur utni hi behatreen tareeke se screen par laya gaya hai.
Haalaki film doosre half me kuchh lambi khinchti se dikhai deti hai lekin uske bawjood bhi ek film ke roop me Gulal uske dekhne walon ke dilon tab tak apni pakki jagah bana kar rakhegi jab tak ki Gulal jaisi hi koi film na aaye.
Film ka har ek charactor soch samajh kar likha gaya hai aur har ek baat se poori film ka tana bana buna gaya hai ki ek bhi dialouge miss karna dekhne wale ki apne aap se nainsafi hogi.
Aur agar koi ek cheez aisi poochhi jaaye jiske liye film ko alag se dekha ja sakta hai to wo hai Piyush Mishra, jo har ek kavita aur jo chhand Mishra ji ne is film ke liye likhe hain wo shayad aaj tak ka unka sabse achchha kaam hai.

Kul mila kar koi agar mere hisab se is film ko dekhne jaye to is film ko 4 stars se kam dena ek dum nainsafi hogi.

Wednesday, October 15, 2008

Kuchh aur...

Apne kapdon me hi jism kisi aur ka lagta hai
Yahaan par har shakhs kuchh aur sa lagta hai

Kisi ke muhalle jagmag hain chiragon se
Kuchh logon ke ghar me bas alav sulagta hai

Wo sooni si sadken, biyabaan se jangal
Har dil me leking koi khyal tahalta hai

Pahchaan har ek ki alag alag hoti hai
Dhoondhe se lekin ek nishaan sa milta hai

Toote tamanna ya umeedon ka katl ho
Har ek tukde me phir bhi ek khwab to palta hai

Thursday, September 04, 2008

Fasla

Jab saath tu hai to kya phir kami hai
Magar ye duniya kahan ab sagi hai

Tere har safar me kahan tak chale the
Ab chand kadmon me jaan thak chuki hai

Jo baaten lagi thi humko milane
Baaten wahi to zahar ban chuki hain

Peechhe palat ke jab dekha kiya main
Meri har nishani ki boli lagi hai

Na kufr hai ye tera, na meri thi galti
Har ek rishte ki nabz kabhi to ruki hai

Monday, February 04, 2008

Khel aur desh ka Khel

Desh ki sabse pratibhawan mahila tennis khiladi ka ye kahna ki wo apne desh me nahi khel sakti, to kisi desh aur us desh ke logon ke liye is baat se badi sharmnaak baat koi aur nahi ho sakti.

Jahan humara desh 100 karod se bhi zyaada ki aabadi hone ke baad bhi behatareen khiladiyo ke liye aise joojhta hai jaise ki Thar ke registan me koi hariyaali ko dekhne ke liye. Wahin Wimboldon jr. me desh ke liye pahla aur iklota khitab lane wali Sania Mirza ke peechhe jab uske hi desh ke logon ne fikre aur fatwe zaari karne shuru kar diye hon to apne desh me na khelne ka uska faisla 100 feesadi lazami hi hai.

Ye mudda bhi un saare muddon me shamil ho jata hai jo Cricket aur doosare khelon ke beech me sage-sotele salook ko phir se humari nazaron ke theek samane lakar khada kar dete hain.

Sydney me humare desh ki Cricket team ke ek khiladi ki galati hone ke bawazood bhi poora desh uske saath khada hua paya gaya. Agar Australia me hue Harbhajan mamle par gour farmaya jaye to jo lafz Bhajji ne istemaal kiye the unka agar theek tarah se matlab sunwai ke judge John
Hansen samajh pate to shayad saza me koi kotahi nahi barti jaati.
Wahin par BCCCI ke ala adhikari bhi bhale hi News Camera ke saamne nahi par Camera ke peechhe to ye kabool karte hain ki galti humare ladke ki bhi thi.

Saniya ke Bangalore Open me na khelne ke faisle do hi din pahle jab desh ke honhar Boxer Akhil Kumar ne Olympic ke liye qualify kiya aur doosre hi din Olympic ke chandi ke tamge par haq rakhne wale Worapoj Petchkoom ko apne mukkon se chit kiya to usne ye na socha hoga ki uske mukke Hindustani media ke foulad ke saamne kajor pad jayenge. Desh ko koi bhi bada akhbaar Akhil Ko Cricket ke saamne itna bhi nahi maan paya ki uski ek chhoti si tasweer hi chhapi ja sake.

Kul milakar baat aaj bhi wahin par aa kar ruk jaati hai ki kya Cricket ko shahzada bana kar kya hum doosre khelon ko fakeeri me nahi rakh rahe. Kyonki baat sirf paisa ya suvidhaen muhaiya karwane par hi khatam nahi ho jati hai. Khel ko humesha insaan khela karte hain aur insaan ko agar apnon ka saath mile to Everest ko paar karne ka kaam bhi palken zapkane se zyada bada nahi lagta.

Chahe wo Sania ho ya Akhil Kumar ya phir Desh walon ke pyar ko tarasti Hockey team, agar hum inhe shahzade nahi bana sakte to koi baat nahi lekin wo saath to de hi sakte hain jiski ek desh wasi apne hum watan se umeed karta hai.

Saturday, January 26, 2008

Zulmon ki had

Zulmon ki had tod firangi
Desh prem na hoga kam

Aag agar na ho seene me
Pal bhar me sulga te hum

Mushkil ki ghan ghor gadi me
Sahas ka parcham lahrate hum

Dost ki Zappi, dusman ka khanzar
Seene par hi khate hum

Dukhon se jhakjhor de koi
Fir bhi har pal muskate hum

Zulmon ki had tod firangi
Desh prem na hoga kam

Saturday, November 17, 2007

Kisi Roz..

Dard kya hota hai batayenge kisi roz.
Koi kamaal ghazal tumko sunayenge kisi roz..

Thi unki zidd ki main jaoon unhe manane.
Mujhko veham tha wo bulayenge kisi roz..

Rab kis kasam maine socha bhi nahi tha.
Wo itana mere dil ko dukhayenge kisi roz..

Har roz aaine se ye poochha maine.
Kya rukh pe tabbassum bhi sajayenge kisi roz..

Udne do in parindon ko azaad fiza main.
Tumhare honge to lout hi aayenge kisi roz..

Apne sitam ka dekh lena khud hi assar tum.
Zakhm-e-jigar tamaam dikhayenge kisi roz..
Koi kamaal ghazal tumko sunayenge kisi roz..

Saturday, November 03, 2007

Naate..

Kisi ke jazbaaton ki parwaah hai kise, is patththar dil zamaane me.
Sabka apna apna raag hai, rona hai, lage hain sub usko hi gaane me.

Rishton ko banane me waqt aur takleef bhi bahut lagti hai.
Nahi hai kuchh bhi lagta to, kisi bani hui duniya ko mitaane me.

Tere dil ki baat ko apne seene se lagaya har baar har tarah.
Muddat bhi kaafi na hui tere liye mere kuchh alfaazon ko apnaane me.

Naaton ko kai baar tola gaya hai taraazoo me har tarah ke.
Keemat hi bhool gaya har koi, mashgul ho gaya jo sikkon ko sajaane me.

Har dar par yadon aur tamnaaon ke khoonte se thuke hote hain.
Kabhi kabhi ye zaalim hi kaam aate hain akele man ko bahlaane me.

Sunday, October 21, 2007

Badlaav

Duniya ke adhikatar logon ko maine kahte hue suna hai ya phir yoon kahoon ki chhapi hui kitaabon me padha hai ki "Badlaav har kisi ko raas nahi aata", aur kuchh aisa hi mera khayaal bhi raha tha aaj tak. Lekin waqt ek aisi takqat hai jo jaan se pyaari cheez ko dushman aur dushman ko bhi jigar ka tukada bana dene ki koowat rakhti hai.
Lagbhag teen saal pahle chhoda hua meri zindagi ka koi waqt mujhe phir se milne par itana sukoon de jayega maine kabhi sapne me bhi nahi socha tha. Tamam faisle karne ke baad jab maine un lamhon ko pair me chubhe kisi kaante ki tarah nikal kar phenk diya tha to mujhe nahi pata tha ki jab wo kanta mujhe milega to kisi gulaab ki tarah mere dil-o-dimaag ko mehka jayega.
In lamhon ki shuruaat maine ek Company "Success marketers" ke saath ki aur kaafi mehnaton ke baat maine apne pairon jamana shuru kar diya tha lekin ek waqt mujhe laga ki yeh sab mere bus ka nahi hai aur main yahan par wo nahi kar sakta jo main chahta hoon.
Khair baat ye nahi hai ki main kya chahta hoon aur kya nahi, lekin ye hai ki maine jiske layak apne aap ko kabhi nahi samjha wo hi kaam aaj bhi mere andar basa hai ye maine ab jaana.
Media Industry me jaane ke khayaal ke baad hi maine Marketing ke baare me bhool kar bhi nahi socha lekin jab kal main apne waqt ko kisi kaam me laane ke mood se Bangalore me base ek bade se aashram ke sabse Keemti sazo saaman ki dukaan ke Gahnon ko bechne ke liye baitha to maine us waqt bhi apne bhoot(kaal) ki aur koi tawajjo nahi di. Grahak aate gaye aur main sirf apna kaam karta gaya na dimaag me saamne wala grahak tha aur na main dukaandaar. Bas wo log jo mangte wo main de deta aur jo poochhte uska jawab de deta, iske sivaye aur kuchh bhi dimaag me nahi aaya poore din.
Aap ko lag raha hoga ki Gahanon ki dukaan par jab Khoobsoorat ladkiya aati rahengi to bhoot ko yaad karne ke liye mere paas waqt hi kahan hoga :-). Lekin main aapko bata doon ki wahan par bahut tarah ke log aate hain, har umar ke, har jaati ke, desh ke har kone se aur duniya ke kuchh koochon se, ladke, ladkiyaan, aadami aur aurat sabke darshan aapko is ek hi jagah par khade hone par mil jaayenge. Aur agar aap ek baar inke sawaalon me pad gaye to shayad Rashtrapati pad ke liye bhi agar koi Interview hoga to wo bhi saral hi lagega.
Sawaalon ke andaaz bhi alag tarah ke hi hote hain --
?: -Aap kahan rahte hain?
!: -Bangalore me.
?: -Bangalore me rahte hain to bhi aapko hindi aati hai ( Jaise Bangalore ki border me ko magnetic field hai jo under aate hi hindi ka gyan kheench leti hai.)

?: -Kya aapke paas Lakh ke earrings hain? (a woman from gujrat)
!: -Hain kuchh lekin unke pair nahi mil rahe hain aur sirf ek aap pahnengi nahi
?: -Lekin keemat to bataiye iski
!: -Ek ka aap kya karengi wo to ladkon ke pahnne ke liye hote hain.
?: -Ladke to aapke counter par aayenge nahi
!: -Galat fahmi hai aapki wo hi zyaada aate hain, aap jaise logon ke liye lene
?: -Hmm it makes sence (Lagata hai inhe kisi ne aaj tak koi gift nahi diya)

Ek Bengaali aunty ne to had hi kar di thi, bahut der tak har tarah ki cheeze dekhne ke baad ek haar unhe pasand aaya wo bhi tab jab unhone wo mere gale me pahna kar dekha. :)
South Africa se aaye ek bhai sahab aakar sab kuchh ke baare me poochh gaye jaise yahaan ke gahno par research karne ka world wide project mila ho. Uske baad bhi khareed kar wo le gaye jis par meri nazar thi (Koi baat nahi ab to aadat si ho gayi hai)
Lekin jab raat me baaton baaton me logon ko ye pata chala ki main ek Khabarnigaar hoon to logon ke muh khule aur aankhen phati si rah gayee.

?: - Aap journalist hain? Phir yahan kya kar rahe hain?
?: -How do you know about jwells and all?

Saare ke saare sawaal hi karne me lage the aur har baar ki tarah is baar bhi main sirf jawaab hi de raha tha. Mera bheja bhi tab bilkul hat gaya jab maine Bill par nazar daali.
Jab maine total kiya to main samjha ki main 'quanta' bilkul hi bhool chuka hoon, kareeb teen baar total karne ke baad bhi jab amount wahi aaya to mujhe laga ki aaj bhi wo puraani taaleem mere andar kaheen dabi padi hai jo aaj phir baahar nikal kar aa gayi.
Sirf char ghanton me business 24,000 ka jo ki bina kisi mehnat ke kiya gaya tha aur wo bhi sirf baaton baaton me, aur andarooni khushi ke saath.
Mere dimaag me abhi bhi baat samajh yeh nahi aa rahi hai ki ye sab nateeja kiska hai, Marketing skills, Experience ya phir CHANGE of job.

Monday, September 03, 2007

Lambi Kahaani..


Ek chhota sa lamha ek lambi kahani

Wo sooni si rahen, biyaban wo aangan.
Har ek zarre me hai, rakhi kuchh nishani
Ek chhota sa lamha ek lambi kahani..

Jahaan par bichhi thi khushiyan hazaron
Nikhare salone the khwabon khayalon.
Waheen par to thi khwahishen sab gumani
Ek chhota sa lamha ek lambi kahani..

Khate hue nanhe haathon ko apne
Muh se tapkta tha 'Guddu' ke paani
Mahangi hui itani chatani ki keemat.
Padi ab to wo, apni jaan se chukani
Ek chhota sa lamha ek lambi kahani..

Jaan ki bhookh aur lahoo ki pyaas rakhna
Bandookon, Dhamaakon ke sabak paath ratana.
Aadatein nahi ye sabhi katai insaani
Ek chhota sa lamha ek lambi kahai..

Thursday, August 16, 2007

Kayada

Aazadi ke 60 saalon ke poore hone ka khas mouka, har saal to subah un gaanon ko sunkar neend khula karti thi, jab chhota tha to bade savere hi is tyohar ke jashn ke liye saleeke se taiyyar hokar school ke liye nikal jaata tha raaste me aane wali har doosri manzil par tiranga laga hua dikhai deta tha aur kaano me to sirf aur sirf desh bhakti geet hi sunai padte the.

School se loutate waqt laddoo milte the aur ghar pahunch kar daadi ka banaya hua halwa aur chacha ki layi hui jalebiyan.

Lekin aaj sa kuchh badla hua sa shuru hua, na subah subah desh bhakti gaane, na koi bhashan, na parade, na koi mithai na hi koi badhai. Yeh theek subah ka haal tha lekin jaise jaise din beetane laga halat badalte chale gaye.

Shaam hote hote kal ki beshumar dimaagi aur jismaani mehnat rang layi aur desi khel ke rang me rangi 'Chak De India' dekhi to aisa laga ki aaj tak main bhi kitni badi galti karta aaya hoon. College me har baar apna intro dete waqt pradesh ka naam bataya. Kya zaroorat hua karti thi uski kya sirf naam bata dena hi kaafi nahi tha kisi professor se padh lene ke liye. Aur is hi baat ka ehsaas mujhe is film ne karwaya ki agar hum sirf apne pradesh ke liye kaam karenge to desh ka kya hoga.

Is film ke dialouges ne har lafz ka behatareen istamaal kiya hai lekin fir bhi main jo chahta tha aaj ke din wo nahi mila is film se. Shayad jo mujhe chahiye tha wo to kaheen aur hi mera intazaar kar raha tha ghar ke raaste me mera hi ek bhai jo ki masoomiyat ya kaam ki maar se raat ko Tiranga utarana bhool gaya tha maine apna farz nibhate hue use us kayde ke baare me bataya jo maine kareeb char saalon ki kadi mehnat ke baad seekhe hain. Aur shayad use seekhne ka mouka na mila aur khushi is baat ki hai ki 'Mehboob Bhai' ko bhi is par koi etaraaz nahi tha.

Ghar ja kar dekha to bharat pakistan ke moujooda haalat ko lekar bahas chhidi hui thi, loktantra-tanashahi, ye dono kisi desh ke vikaas par kis had tak asar daalte hain poll ke aankade saaf dikha rahe the. Poori bahas ke douraan ek hi baat baar baar saamne aa rahi thi ki loktantra hi kisi bhi desh ke liye sabse sahi raasta hai aage badhne ka lekin loktantra me kaanoon sabke liye ek samaan hone chahiye, kaayde aur kanoon is tarah ke tantra ke liye reed ki haddi hain. Phir wo chahe kayada Tirange ko andhera hone ke pahle utaar lene ka hi kyon na ho.

Aur aise mouke par ek hindustani hone ke naate apne hi bhai ko anjaane me us Tirange ka apmaan hone se bachane ke sivay main aur ko desh bhakti ka kaam nahi kar sakta tha.

Wednesday, August 08, 2007

Rone Nahi Diya....

Patthr bana diya mujhe rone nahi diya.
Daaman bhi tere gham ne bhigone nahi diya.

Tanhaiyaan tumhara pata pochhati rahien.
Shab bhar tumhari yaad ne sone nahi diya.

Aankhon mein aa ke baith gaye ashkon ki tarah.
Palkon pe khoye khwaab ko pirone nahi diya.

Dil ko tumhare naam ke Aanso azeez the.
Duniya ka koi dard nazron me samaney nahi diya.

Yun us ki yaad chali haath thaam ke mele mein.
Is jahan ko mujhse khone nahi diya.

Pather bana diya mujhe roonay nahi diya.
Daaman bhi tere gham ne bhigone nahi diya.

Wednesday, August 01, 2007

Filmy Chakkar..

“Yaar six years is such a long period.” “Wo achchha aadmi hai yaar.” “Usane kitana kuchh kiya hai desh ke liye.” “Wo munna bhai hai.” “Galati chhoti si hi thi aur wo bhi 14 saal pahle hui thi.” Ye sabhi vakya baan, TADA adalat ke aakiri faisale ke bare me kee gayi meri tippani ke pratyutar ke roop me chalaye ja rahe the.

Ek pal ko agar socha jaye to shayad ye sabhi baaten kisi ko bhi Sanjay Dutt ke liye hamdardi paida karne ke liye kaafi hain, aur agar sach kahoon to TV par jail jaate hue ‘Munna’ ko dekhana mere liye bhi dardnaak hi saabit ho raha tha. Pichhale kuchh salon me is ‘Khalnayak’ ne jitane bhi kaam kiye hain unke baad usane beshak ek achchhe Hindustani hone ka saboot pesh kiya hai. Khaskar ‘Lage raho’ne jab poore desh me Gandhigiri failayi to ‘World Space’ ke is RJ (Radio Jockey) ne tamaam duniya me RJ ki nayi paribhasha de daali ‘Revolution Jockey.’

Lekin in sabhi ko dekhakar jazbaaton ke bahav me bahna aur yeh kah dena ki “jo bhi hua achchha nahi hua.” Yeh baat to mujhe Hajmola to kya julaab ki sabse umda kism ki khuraq se bhi hajam nahi ho sakti hai.

Aise kai karan hain jo mujhe aisa sochne par majboor karte hain jabki main bhi apane aap ko ‘Sanju Baba’ ke chahne walon ki jamaat me shamil karta hoon.

TADA adalat ne kul milakar 12 ko saza-e-mout aur 20 ko umar quaid sunai hai jisase Sanjay Dutt saaf tour par bach gaye.

Agar Sanjay ke purane career par aur life style par gour karen to unhone kabhi aisi koi film nahi banai jo desh ke bare me baat karti ho, Sunil Dutt ke shuru kiye gaye ‘Nargis Dutt Cancer Foundation’ me bhi koi madad ki eent unke hathon se nahi lagi, drugs ki lat chhudwane ke liye videshon me ilaj chala aur shaadi se pare muhabbat ka rishta talaq lekar saamne aaya. Aur sabse badi baat jo aaj bhi duniya ki surkhiyan bani hui hai – 3 Ak-56 rakhane aur saboot mitane ki koshish karna aur logon ko uske liye uksaana.

Jab ye sabhi ‘Galtiyan’ ho rahee theen tab Sanjay Dutt apani umar ke lagbhag 32 basant poore kar chuke the aur is umar me ki gayi galityan, galtiyan nahi Gunaah kahlati hain.

Ek Gunaah hi sazaa Gunaahgaar ko milna lazmi hai uar wo bhi tab jab gunaah itana sangeen ho.

Agar Sanjay Dutt ke paas Media naam ka Bramhastra na hota to ye hamdardi logon ke dilon me paida hone ki gunjaish katai paida na hoti. Aur agar yahi hathiyaar doosaron ke paas hota to shayad wo hi kuchh aisi hi hamdardiyon ke haqdaar hote.

In sabhi baton ko kekhne ke baad bhi agar kisi man me Sanjay Dutt ko mili saza zyada ya phir adalat ki zyadati lagati hai to wo insaan ek baar apni aankhen moond kar apne aap ko us ghar ka hissa banakar dekhe jiska koi ek shakhs un dhamakon ka shikaar ho jiske saath Sunjay Dutt naam juda hai. Phir man me kam ya zyaada ka khayal chhodkar ek hi faisla dikhai dega jo film ‘Vastav’ me Sanjay Dutt ki maa Reema Lagu ne kiya tha.